Motivation

Mentally Strong Kaise Bane? Mentally strong kaise hote hai?

23:45

Mentally Strong Kaise Bane? 


   Hello Dosto kaise ho aap sab hope hai ki aap sab acche honge. Ajj mai aap ke liye new topic par post le kr aya hu ki Mentally Strong kaise bane or mentally strong kaise bante hai or mentally strong hone ka matlab kya hai. To challiye dosto ajj ki bat ko suru karte hai.



Mentally Strong kya hota hai 

                Is ko janne ke liye sab se pele hum ye dekhte hai ki physically strong kya hai. Kya hum keh sakte hai ki jis ke pass Strength, Stamina or Endurance hai vo physically strong hai. Or kya hum ye bi bol sakte hai ki us ke bones or muscle strong hai taki wo weight utha sake or overall structure majbutt ho. Or sath me hum ye bi dekhte hai ki vo andar se kitna majboot hai ki vo bimar na ho or us ki immunity power strong ho.

                                          Ab jo funday hum physically strong me dekh rahe thay in ko hum relate karke dekhege ki mentally strong kaise bane. jaise kuch log hote hai ki thoda sa kam kiya to thak jate hai or kuch hote hai ki koi kaam kar rahe hai or agar thoda sa bi dard hua to chord dete hai chui mui type ke.

 

To ayeye Dekhte hai hum important points.

 Sab se pele bat karte hai hum strength ki. jaise physically strong hone ka matlab kya hai strength. jaise man lo ki weight uthana hai. jaise hume kahi jana hai or hum Indians jaise travel ke time le kr jate hai bhari bhari luggage. kehne ka matlab hai ki agar apke muscles strong hai to aap utha lo ge or agar muscles strong nahi hai to aap nahi uta payoge. Thik is tara apke Thinking muscles kam karte hai. 
                   Is me bi teen condition ate hai pela ki jaise humare pass koi badi problem ayi or hum ne hathiyaar dal diye to humari brain muscle kaisi hai weak hai. ki luggage bari hai mai agay travel nahi karuga🤣🤣 aray bhai apne muscles strong kar duniya me agar problem hai to solution bi hai iss ke liye hume apne thinking muscles chahiye. 
          Agar hum problem me hi ja kar fas gaye hai iss ko hum keh sakte hai ki humari mentally muscles hai vo weak hai.

        Iss me dusra scenario kya hai ki humare pass problem aye or hum lade hum ne bahut effort lagaye or hum jeet gaye. Matlab us problem ka hum ne solution nikall liya.
Kya aap jante ho ki aap mentally kitna strong ho nahi na kyuki hume bahut effort lagana pad raha hai. Man lo ki aap se bag nahi uth raha tha fir bi aap kaise karke gasit gasit kr le gaye or pahunch gaye or badi badi bate kr rahe ho ki mai ye mai vo nahi bhai aap ki kamar me moch aa chuki hai😂😂.ye wala senerio pele wale scenario se accha tha par jo third wala scenario ayega wo iss se accha hoga to hum bat karte hai ab third scenario ki
       Third scenario hai ki aap pele se tyar ho badi se badi problem ke liye or solution aise hi easily nikal kr aa gaya vo problem jo bahut badi hai jis ko dekh kr log darte hai us ka solution aise hi easily aa gya. Yani ek bag apke pass hai 50Kg ka or aap ne aise hi utha liya halke me. logo ko dekhne me lag raha hai ki bag halka hai bag halka nahi hai bandhay me dum hai. To kaise aap jindgi ki mushkil se mushkil problem ko assan bana sakte ho kitna assan bana sakte ho ki iss banday ko koi effort hi nahi krna pad raha hai. usi ko to kahange Mental strength Mentally Strong hona.

iss ko agar mai sumup karu ek line me to ek category hoti hai logo ki jo simple se simple problem ko bi complicated bana dete hai apne mind me 99% log aisa hi karte hai. simple si problem hai hai kuch bi nahi us ko hawaua bana diya hai pura ka pura. Or dusri tara ke log hote hai vo hote hai jinone actually kam kiya hota hai apne mental skill par. Un ke samne problem hoti hai complicated se complicated us ko bi simple bana dete hai. 
        

           Conclusion iss ke liye aisa karna chahiye ki person ko na dekha jaye mai sahi vo galt hai ya vo sahi hai mai galt hu. ni ko na dekh kr actual problem ko dekhna chahiye ki actual me problem ky hai. agar humko ye samj aa jata hai to kya ye problem jad se thik nahi ho jati. bilkul ho jati hai thik. or agar hum prroblem ko na samje or uper uper se iss ko thik karne ki koshish kare to kya ye problem kabi thik ho sakti hai. nahi ho sakti. 

Thank You ummed hai aap ko ye post pad kar accha laga hoga. agar apko ye post acchi lagi ho to apne friends ko share kare taki vo bi pard ka accha accha feel kr sake. 
Read next »

internet

Mobile Phone Me High Internet Speed Nahi Milne Ki 10 Wajah

01:57

Mobile Phone Me High Internet Speed Nahi Milne Ki 10 Wajah

Duniya me sabse jyada mobile me internet istemal kiya jata hai or aksar logo ko smartphone me high speed internet service na milne ki problem hoti hai. Best cable and internet provider ya best sim isp internet provider hone par bhi phone user ko slow interent connection ki pareshani hoti hai. Today, main aapko mobile me high internet speed nahi milne ki wajah bta raha hu. Aap in galtiyo ko sudhar kar phone ki internet speed fast kar sakte ho.

Airtel, idea, vodafone, reliance comapny hume best internet service provide karte hai but top high speed internet providers hone ke bavjud kei bar 2G hi nahi 3G or 4G se bhi utni internet speed nahi mil ati jitni milni chahiye. Actually, iski wajah user ki ki gayi mistake hoti hai user apnjane me kuch aesi galti karte hai jinki wajah se phone internet speed slow ho jati hai.
Wese to users bahut sari galtiya karte hai but main yaha aapko un galtiyo ke bare me bta raha hu jo mostly har kisi smartphone user se hoti hai. In galtiyo ko sudharne ke bad aapko mobile me high speed internet service milne lag jayegi.

Smartphone Me High Internet Speed Service Nahi Milne Ki 10 Wajah

High speed internet connection hone par bhi aapko in wajah se mobile me fast internet speed nahi mil pati hai. Agar aap bhi inme se koi galti kar rahe hai to use avoid karke dekhe i sure aapko internet serivce high speed se milne lag jayegi.
1. Network Setting Sahi Set Na Karna:
Mobile me slow high internet speed na milne ki ye sabse badi problem hai. Actually, aapke auto internet connection mode select karne yani mobile ki networking default use karne se phone ko bar bar network search karna padta hai.
Examples, aapne default yani 2G, 3G ,4G sabhi network choose kar rakhe hai or aapki location par kisi bhi ek network ki range sahi sahi nahi hai to aapka phon system bar bar kabhi 2G kabhi 3G search karta rahega. Agar aap ek mode like GSM, WCDMA select kare to net speed me sudhar hoga or phone ko bar bar searching nahi karni hogi.
2. Auto Update Off Nahi Karna:
Mobile application update available hone par jab aap internet chalu karte ho to background me automatically update hoti rahti hai. Aap ise phone ki update setting me ja kar band kar sakte ho.
3. Ad Blocker Istemal Nahi Karna:
Bahut si websites par jyada hi advertising hoti hai. Jiski wajah se na sirf aapke mobile me internet slow chalti hai balki aapka bahut sara data bhi khatm ho jata hai.
Aap playstore se ad blocker apps download kar install kar sakte hai. Ya fir aap UC Browser ka istemal kare isme already ad blocker hota hai.
4. Extra Apps Install Rakhna:
Shayad hi koi hoga jo apne mobile me game nahi khelta hai. Aaj smartphone me aese aese game available hai ki har kisi ka man karta hai. But kya aapka pata hai inme se kuch apps aese bhi hote hai jinhe play na karne par bhi jab aap internet on karte ho to background processing activate ho jati hai.
Isse na sirf aapki internet speed slow hoti hai balki aapka bahut sara data bina wajah ke hi khatm ho jata hai. Un apps ko mobile se unitsall kar de jinka aap bahut time se istemal nahi kar rahe ho. Main aapko suggest karunga ki aap sirf jaruri apps hi mobile me use kare.
5. Memory Clean Nahi Karna:
Android mobile me internet istemal karne par cache files ban jati hai. Iski wajah se aapke phone ki ram ka space badh jata hai or phone systep ko work karne me problem hoti hai. So time to time cache memory ko clear karte rahe ya fir sike liye aap clean master jaise apps install karte rahe jo phone ki ram full hone par aapko alert kar dete hai.
Aapke phone me kam se kam 300 MB ka space humesha bana rakhna chahiye. Achhi internet speed pane ke lyie ye jaruri hai. Aap phone setting >>storage me ja akr easily cache files ko delete kar sakte hai. Iske alwa aap apps manager me ja kar us apps ki cache file bhi delete kar de jise aapne abhi abh iistemal kiya hai.
6. Mobile Ko Humesha On Rakhna:
Jis tarah insan ko kaam karne ke bad aaram ki jarurat hoti hai or wo bina aaram kiya lagatar achhe se work nahi kar sakta theek wese hi huamra phone bhi lagatar work nahi kar sakta. Aapko ye sun kar hasi jarru aayegi but ye sach hai phone system ko bhi kuch time rest ki jarruat hoti hai.
Aap mostlyr nite me sote time phone ko switch off rakh sakte hai. Aap phone ko off karke fir se open karoge to aapko sachmuch internet speed me badlav dikhenge. Yakinn aapke phone ki internetspeed high hogi.
7. Memory Card Ka Istemal Na Karna:
Agar aapke phone me memory card hai to aap phone ke kuch extra apps ko card me move kar sakte ho. Jisse phone memory increase hogi or mobile system achhe se work karega.
8. Facebook App Use Karna:
Shayad apako yakin na ho but ye bat sach hai ki facebook app aapke mobile ki na sirf internet speed slow karta hai balki aapke mobile ke pure system ko hi slow kar deta hai. Actually, iska size already 50MB se jyada hota hai or isme big sizes ki cache files create hoti hai.
Jiski wajah se kuch hi time me apake mobile ki ram full ho jati hai. I suggest you facebook app ki jagah facebook lite use kare ya kisi other browser me facebook ka istemal kare.
9. Bluetooth On Rakhna:
Sab jante hai ki virus mobile ho ya computer sabke liye danger hote hai or bluetooth on rakhna virus ko invite karne ka sabse achha tarika hai. I mean bluetooth chalu hone par koi bhi virus aapke mobile par aasani se attack kar sakta hai.
Bluetooth on hone ki wajah se phone me virus aa jate hai jo phone internet connection ko slow karte hai balki mobile ke pure system ko hi dhima kar dete hai or ho sakta hai aapke mobile ke system ko hi khatm kar de.
10. Phone Reset Nahi Karna:
Android Smartphone or toher sabhi me settings reset karne ka option hota hai. Jisse hum phone ko fir se new product bana sakte hai. Jab hum mobile ko reset karte hai to uska sara data delete ho jata hai or sirf company ke diye apps software hi baki rahte hai.
Ye option isiliye hota hai taki hum phone me koi mistake hone ya virus attack hone par use reset kar remove kar sake. But bahut se mobile users long time tak phone ko reset nahi karte ya fir karte hi nahi hai.
Aap weekly monthly phone ko reset karte rahe taki phone ki quality pahle jaisi bani rahe or wo good work karta hai. Phone ki safety ke liye ye jaruri bhi hai.
Iske aalwa aap mobile phone play store or play store service ko bhi update kar le isse bhi phone ki internet speed increase hoti hai.
Finally, main apako yahi kahunga ki phone better work kare iske liye jaruri hai ki phone me extra apps install na kare or jinta ho sake phone ko clean rakhe. Mobile ki high internet speed ki ye jankari apko kaisi lagi comment me jarur btaye.

I hope is psot me btayi tricks se aap apne phone ki internet speed high katr sakte ho. Agar ha to apna 2 second ka time nikal lar is post ko  share jarur kare.
Read next »

computer

Jio 4G Sim Se Kis Time Kitni Aur Sabse Jyada Speed Kab Milti Hai

01:54

Jio 4G Sim Se Kis Time Kitni Aur Sabse Jyada Speed Kab Milti Hai

Reliance Jio 4G sim ne india me internet users ko badal kar rakh diya hai. Only 1 month me 1.6 users bahut jyda hote hai or abhi bhi iski market me pahle jaisi demand bani huyi hai. Log jio sim ko bahut pasand kar rahe hai but probelm tab hoti hai jab is sim se movies, songs or photos download karne ya internet chalane par kei bar jyada speed nahi mil pati or bahut slow ho jati hai. kei bar to 2G se bhi kam speed mil pati hai. So aaj main aapko bta raha hu ki kis waqt jio sim se maximum internet speed milti hai.yaha par mai ap ko ye bi batana chata hu ki jio sim ki unlimted data and other use ki validity bada kar 31 march Kar di gayi kai .
Aese me user ke dimag me ek sawal aata hai ki reliance jio 4G sim se 2G, 3G se bhi kam speed kyu milti hai or agar 4G speed milti hai to kis time or kitni jyada internet speed milti hai. Isme se important swal ye hai ki jio sim se kis time or maximum kitni speed milti hai.
Jio sim free me internet, calls, sms ki service de rahi hai but kei bar good internet speed na milne ki wajah se users pareshan ho jate hai. Isse pahle ki hum us time ke bare me jane jab jio se sabse jyada speed milti hai. Usse pahle hume ye pata hona chahiye ki 4G me kitni internet speed hoti hai.

4G Me Kitni Speed Hoti Hai ?

Aapko is bat ka pahle se pata hoa agar anhi hai to main aapko bta du ki 4G network me maximum high speed 50Mbps hoti hai. Yani aa pek second me 50 MB data download kar sakte hai.
But india me cellular companies 20 to 25 Mbps ki speed hi de rahi hai. Jio sim par bhi starting me 25Mbps ki speed mil rahi thi but dheere dheere speed kam ho gayi hai or ab Mbps ki jagah speed KBps me aa gayi hai.

Jio 4G Sim Se Kis Time Kitni Aur Sabse Jyada Speed Kab Milti Hai in Hindi

Maine apne 4G supportm mobile phone me alag alag time par movies, songs download karke dekhe or mujhe alag aalg time par internet connection ki speed change hoti dikhi hai. Isiliye main aapko kab kis time par jio se kitni speed mil rahi hai ke bare me bta raha hu.
1. 9 am to 12 pm:
Maine sabse pahle jio sim ki speed check karne ke liye 10 am par movie download kar ke ki or is waqt maximum 30KBps thi. Speed ghat-ti badhti rahi lekin wo 2G ke barabar hi rahi. Is speed se movie 1 hours se jyada time me download ho sakti hai.
2. 1 pm to 4 pm;
Dophar 1 pm to 4 pm ye internet chalane ka toda busy time hota hai. Is waqt reliance sim ki speed bahut slow ho gayi or maximum 20KBps bhi nahi rahi. Kei bar to internet chal hi nahi raha tha. Is speed se to film mushkil hi download ho sakti ha.
3. 5 pm to 8 pm:
Ab maine 5pm to 8pm ka time slot karke dekha. Abki bar pahle dono bar se jyada behtar speed mili. Is time film download hone ki maximum speed 150KBps to 200KBps thi or kei bar kam jyada hoti rahi. Halanki is time me internet par other work karne par speed kam hoti hai.
4. 9 pm to 12 am:
Is dauran internet speed or jyada increase ho gayi or movies fast download hone lagi. Pahle speed kam thi par dheere dheere 10 pm tak speed 300 to 400KBps tak pahuch gayi. Iska reason yeh ho sakta hai ki is time par bahut kam users internet par online rahte honge ya fir log kam downloading karte honge.
5. 1 am to 4 am:
Jio ke plan ke bare me kaha jata hai ki rat 12 am to 5 am tak internet speed bahut jyada hoti hai or 1000KBps se bhi jyada speed milti hai par aesa nahi tha. Wese 1am to 4pm ke bich speed 500KBps tak pahuch gayi or maximum speed 400KBps tak rahi.
6. 5 am to 8 am:
Ye morning ka time hota hai or abki bar maza aa gaya or or sabse jyada speed mili. Is time par movie bahut fast download ho rahi thi or kei bar to speed 800KBps tak pahuch gayi. Mujhe jio sim ka sabse jyada speed dene wala time lagta hai. Is speed se 1GB ki movie 20 to 30 minutes me download ho jati hai.
Finally, morning ke time me jio 4G sim se sabse jyada or 700 to 800 KBps tak ki speed sasth maximum 1024KBps yani 1Mbps mil jati hai. Iski main wajah ye hoti hai ki is time aadmi office ke liye taiyar hote hai or bachhe school ke liye, home me mahilaye kichan ke kaam me lagi rahti hai. So is time apr bahut hi kam users internet use karte hai.
Aapke smart phone me powerful and jyada ram hogi to dusre handset ki tulna me behtar speed milegi. I mean phone ko processor jitna better hoga us phone me internet bhi utna hi fast chalega.
Iske alawa aapke area me jio ke network kaise aa rahe hai ye bhi important hai or loose network aane par internet speed par fark padta hai or speed high – slow ho sakti hai.
I hope aapko ab jio 4G sim par kis time or sabse jyada kitni speed milti hai ke bare me pata chal gaya hoga. Show is post ko apne dosto ke sath share jarur kare.


Read next »

facebook

Whatsapp Par GIF Animation Image Kaise Banaye Sirf 2 Second Me

01:53

Whatsapp Par GIF Animation Image Kaise Banaye Sirf 2 Second Me

Whatsapp par GIF Animation Image banana bahut hi aasan hai. Whatsapp par tarah tarah ki GIF animation photos send ki ja rahi hai magar kuch users ko abhi bhi iske bare me jankari nahi hai. So aaj mai aapko whatsapp me GIF animated photo create karne ki process step by step bta raha hu. Aap easily yaha btaye step follow kar ke aap sirf 2 second me GIF image bana sakte ho or apne friends ko send kar sakte ho.

Whatsapp par GIF animation image banana itna aasan hai ki aap 5 second se bhi kam time me kisi bhi video se GIF picture bana sakte ho. Mai yaha par aapko iski jo process bta raha hu. Use read karne ke bad aapke liye or bhi aasan ho jayega.
Whatsapp par GIF image banane ki step by step full information in hindi, Whatsapp par GIF kaise banaye, Whatsapp par apne dosto ko GIF image kaise send kre, Whatsapp par video se GIF kaise create kare. Apake aese sare sawalo ke jawab is post me mil jayenge.

Whatsapp Par GIF Animation Image Kaise Banaye Ki Puri Jankari Hindi Me

How to Create GIF Image On Whatsapp:
Step 1:
1.      Sabse pahle aap apne mobile me whatsapp open kare.
2.      Ab aapko jis friend ko GIF send karni hai uski profile open kare.
3.      Ab top right side me attachment icon par click kare.
4.      Gallery option par select kare.

Step 2:
1.      Gallery me ja kar VIDEOS option par click kare.
2.      Ab ji video se GIF image bana kar send karni ho wo select kare.

Step 3:
1.      Ab ye video aapke whatsapp me open open ho jayega.
2.      Ab videos me se jaha se aap chaho waha se 6 second ya isse kam time ka video cut kar le.
3.      video ke upar video time or niche GIF set karne ke icon nazar aayenge.
4.      Finally, video ke icon par click kare.

Step 4:
Aapke video icon par tap karte hi video automatically send hona shuru ho jayegi. Actually 6 second ki GIF ka size bahut kam hoga so ye kuch hi second me send ho jayegi.
Sath hi aapke mobile me bhi iska backup ban jayega. Aap chahe to mobile file manager me ja kar whatsapp media file check kar sakte hai.
Is tarah se aap kisi bhi video se whatsapp par GIF animation image bana sakte. GIF image bana kar apne dosto, family member ya other person ko send kar sakte ho.
I hope aapko ye post pasand aayegi. Post pasand aayi ho to apna 2 second ka time nikal kar ise social media par share jarur kare.


Read next »

internet

Whatsapp India Me Kitna Popular / Famous Hai In 7 Bato Se Jane

01:51

Whatsapp India Me Kitna Popular / Famous Hai In 7 Bato Se Jane

Whatsapp aaj online internet se bina paise kharch kiye message send karne ki number one service ban gayi hai. Shayad hi koi aesa smartphone user hoga jiske mobile me whatsapp app install na ho. India me to ye most popular hai. Magar kya aap jante hai ki india me ye kitna famous hai, agar nahi to don’t worry yaha main aapko isi ke bare me bta raha hu. Whatsapp ne khud “bharat me whatsapp” ke bare me secret bate btayi hai. Aayiye Jante hai whatsapp india me kitna popular hai.

Whatsapp ki shuruaat USA Brian Acton and Ukrainian Jan Koum ne ki thi. Ye dono yahoo ke former employee the. Bad me ise facebook ne kharid liya. Aaj world me billion people iska istemal kar rahe hai. Kisi ke mobile me koi or app ho na ho par ye apps jarur mil jayega.
India me ye app itna popular hai ki aap soch bhi nahi sakte. Whatsapp ne khud iske bar me kuch bate btayi hai jinse sabit ho jata hai ki whatsapp india me kitna jyada famous hai.

Whatsapp India Me Kitna Popular Hai In 8 Bato Se Janiye

Whataspp ab android, blackberry, iOS, iPad, windows, Apple, Desktop all ldevice ke liye avaialable hai. Aap whatsapp.com site se apni jarurat ka version download kar sakte ho. Whatsapp ne delhi ke ek event me india ke bare me kuch announcement kiye hai jo is parkar hai.
Whatsapp India ke bare me 7 famus:
1. India Whatsapp Ka Sabse Bada Market Hai.
Company ne officially btaya hai ki all word me bharat uska sabse bada market hai. Company ne kaha ki “Humare pas india sabse bada country hai or yaha par puri duniya me humare sabse jyada users hai.”
2. Video Calling Available for All Users:
Jab whatsapp ne video calling feature launch kiya to pahle india me iska beta version hi uplabad tha but ab pure bharat me iska full version available hai.
Ab aap easily is app se video call kar sakte ho.
3. 16 Crore Monthly Active users:
Whatsapp ke anusar bharat me uske per month 16 crore active users hai. Jo ki ek bahut bada traffic hai.
4. India Me Sabse Jyada Monthly Users:
Aapko ye jan kar or zyada hairani hogi ki india hi wo desh hai jisme whatsapp ke sabse jyada monthly users hai. India me is app ko baki sabhi apps se jyada bar install kiya gaya.
Ek bat or whatsapp already world me bhi sabse jyada bar download kiya jane wala app hai. Iske users ki sankhya puri duniya me sabse jyada hai. Company ke voice president arora ne iski jankari di hai.
5. India Me Facebook Se Bada Hai Whatsapp:
Sabhi jante or mante hai ki duniya or bharat me sabse jyada popular social networking site facebook hai. Agar aap bhi aesa sochte hai to ab apni soch badal dijiye.
Ab india me facebook se jyada users whatsapp istemal karte hai. Yani india me ye app apne parents se bhi jyada lokpriy hai. Facebook ne last month btaya tha ki india me uske 15 crore 50 lakh users hai.
6. 10 Indian Language Me Use Kar Sakte Hai.
India me aap whatsapp ko 1o bhashao me chala sakte hai. Important bat ye hai ki is app ko itni language ke layak banane me customers ne hi help ki hai.
User app par apni bhasha me bat karte thebas company experts ne logo ki basha ko translate karke itni tools bada dali.
7. Optimize Video Calling for India:
Company ka kahna hai ki unhone bharat jaise desh ke users ke liye alag se video calling ko optimize kiya hai. Jaha par telecom network connectivity ka main source hai.
Arora ne btaya ki Wi-Fi par video ki quality high HD hogi or loose network par video resolution kam hogi or app automatically network quality ke hisab se video quality adjust kar leta hai.
8. Diwali Par 8 Billion Messages Send Kiye Gaye.
Whatsapp ke product development head manpreet singh ne kaha hai ki is diwaliwale din whatsapp par 8 arab messages or 1 crore 50 lakh photos bheje gaye the.
Ye ek din ka bahut bada record hai. 2013 m3 whatsapp join karne wale manpreet singh voice calling feature par kaam karne wale pahle indian engineer hai.

Finally, humara desh kabhi bhi piche nahi hai. Har new product par kabza kar leta hai fir chahe wo kisi bhi desh ka ho. Kash other important working field me bhi aesa hi hota. 
Read next »

internet

Smart Phone Kar Sakta Hai Ye 10 Kaam Kya Aap Ne Try Kiya Hai

01:49

Smart Phone Kar Sakta Hai Ye 10 Kaam Kya Aap Ne Try Kiya Hai

Agar aapke pas smart phone hai to aapko pata hona chahiye ki usse aap kya kya kar sakte hai. Is article me mai aapko bta raha hu ki aap calling, messaging, chatting, internet ke alawa apne smartphone se kuch or bhi kaam kar sakte hai. Smart phone me kuch ayse features bhi hote hai jinke bare me aap shayad hi jante ho. Jaise photo khichna, movie banana, remote ko check karna, multiple panoramatic shouts, High quality lens bana kar big cinema banana and other bahut kaam kiye ja sakte hai.

Aaj ke time me har ek aadmi ke pas android mobile, iOS, iPad, wondwos phone, apple smartphone mil jayenge. Mai yaha par aapko smartphone ke kuch top features ke bare me bta raha hu agar aapne ye feature try nahi kiye ho to aap try kar sakte hai.

Smart Phone Kar Sakta Hai Ye 10 Kaam Shyad Aap Inke Bare Me Nahi Jante Honge

Smartphone ne aaj bahut se kaam aasan kar diye hai. Aaj computer par hone wale kaam online internet se smart phone par hi ho jate hai. Aayiye inme se kuch ke bare me hum bhi jante hai ki Smartphone kar sakta hai ye 5, 7, 10 kaam, jinke bare me har koi nahi janta hai”.

1. TV Ya Kisi Or Remote Ko Check kare:
Bahut bar humare sath aysa hota hai ki TV, Music player, DVD ka remote kaam karna band kar deta hai to hume bahut problem hoti hai. Ye problem shayad aapko bhi aayi hogi. Ayse time me hum remote ki battery, sell change karke remote ke sahi hone ka pata lagane ki koshish karte hai.
Jab battery, sell change karne ke bad bhi remote kaam nahi karta to hume ye confusing rahti hai ki remote sahi hai ya kharab ho gaya hai. Magar aapka smart phone is is problem ko 1 second me solve kar sakta hai yani ab aap apne android phone se remote ke sahi ya kharab hone ka pata laga sakte hai.
Remote Sahi Hai Ya Kharab Kaise Pata Kare?

Smart phone se kisi bhi remote ka sahi ya kharab hone ka pata lagana bahut hi aasan hai. Meri btayi ye trick follow kare.
Apne smart phone ka camera on kare or remote ke sensor ko camera ke samne kar ke remote ka koi bhi buttan dabaye. Agar remote sahi hoga to remote ke sensor ki light blink karti huyi nazar aayegior agar sensor light blink nahi hoti hai to aapka remote 100% kharab hai.
2. Use Your Smart Phone as a Projector:
Projector ke bare me to aap jante hi honge. Projector ka kaam hota hai zooming karna. Cinema hall me aap bade parde par jo seen dekhte ho use projector se hi bada kiya jata hai. Aaj mai aapko aysi trick bta raha hu jiski madad se aap apne smart phone ko projector ki tarah istmal kar sakte ho or apne ghar ki kisi bhi diwar par parda laga kar bade parde par movies dekh sakte hai.
Smart Phone Ko Projector Ki Tarah Istmal Kaise Kare?

Ji ha dosto ab aap apne smart phone ki madad se apne ghar me hi cinema hall bana kar movie dekh sakte hai. Iske liye aapko bas ek shoes cartoon or Magnifying glass ki jarurat padegi. Follow below step:-
1.      Magnifying lens ko shoes box ki ek side me rakh ke mark kare or mark kiye gaye cartoon ko blad se kat kar holl bana le.
2.      Box me holl karne ke bad lens ko us me fit kar ke gond ki madad se chipka de.
3.      Ab aapko image ke anusar box me dusri taraf apna smart phone rakhne ke liye stand banana hai. Aap koi bhi cheez ki madad se stand bana sakte hai.
4.      Apne smartphone me koi bhi movie ya video chala kar stand par rakhe. Mobile ki screen Magnifying lens ki taraf karni hai.
5.      Aapke mobile ke focus ko cutch kar Magnifying lens use zooming kar output nikalega. Ab mobile ko aage piche kar ke aapko jis size me video dekhna hai set kare.
6.      Mobile ki video brighttness 100% kar le taki video full clear dikhe.
3. Panorama Shouts Me Kai Bar Dikhna:
Aap panorama apps se ek sath apne kei pose shoot kar sakte ho. Agar aapke smart phone me panorama app nahi hai to  yaha se download kar le.  Hum jab apna photo lete hai to usme aas pass ke log bhi dikhayi dete hai magar panorama apps ki madad se aap sirf apna hi photo soute kar sakte ho.
Panorama Se Sirf Apna hi photo Shoot Kaise Kare?
Agar aapko ek hi photo me apne kei pose shoot karne hai to ye bahut aasan hai aapko bas photo shoot karte waqt photographer ke piche se dusri taraf bhagna hai. Is tarah aap ek hi photo me kei jagah aa sakte ho.
4. Earphone Se Photo Shout Kare:
Aap apne smart phone ke earphone ko kya kaam me lete ho Music, FM sunne me. Magar kya aapko pata hai ki aap earphone ki madad se photo bhi le sakte ho. Chalo aaj mai aapko btata hu ki earphone se photo kaise khich sakte hai.
Earphone Se Photo Kaise Khich Sakte Hai?
Aap jab new smart phone kharidte ho to lagbhag sabhi ke sath earphone aata hai. Earphone sirf music sunne ke kaam hi nahi aata hai balki isse hum photo bhi khich sakte hai.
Actually, earphone me jo play / pause ka buttan hota hai usse aap smart phone ko bina touch kiye photo khich sakte ho sath hi aap value kam jyada wale buttan se camera ko zoom in and zoom out kar sakte ho. Apne aap ka photo khichne me ye trick bahut kargar hai. Yaad rahe ye trick extra liye gaye earphone me kaam kam karta hai isliye extra earphone lene se pahle check kar le.
5. Lens Ki Quality Badhana:
Humare smart phone ka camera acha hone ke baad bhi kei bar hum usse or bhi acha photo lene ki sochte hai. Ye aadat lagbhag sabhi smart phone user ki hoti hai. Wo sochte hai ki kash mai thoda or acha photo khich sakta to mai aapko ek tips bta raha hu apne smart phone ke camera ki quality se bhi jyada better photo lene ki.
Smart Phone Ke Camera Ki Qulity Kaise Badhaye?
Jab aap apne smart phone se photo shoot karo to smart phone ke camera par pani ki ek jara si boond dal kar photo shoot kare or result dekhe photo kitna better aata hai. Isse bina zooming kiye kafi had tak zooming me photo shoot hota hai yani aap is trick ki madad se photo ko or bhi jyada zoom kar sakte ho. (Dhyan rahe mobile ke andar pani nahi jana chahiye sirf jara si ek boond hi use karni hai.)
6. Android Device Manager:
Android device manager ek aysa apps hai jo aapke khoye huye phone ka pata laga sakta hai. Iski madad se aap apne khoye huye phone ke password bhi change kar sakte ho or phone ke sare data bhi mita sakte ho. Jisse phone dead ho jayega or chor ke koi kaam ka nahi rahega. Wese internet par phone ki location btane wale bahut se apps hai par ye apps sanse alag hai.
Android Device Manager Kaise Kaam Karta Hai?
Sabse pahle apne smartphone me android device manager apps download kar le. Aap yaha se bhi download kar sakte hai.
1.      android device manager apps ko apne phone me install kare.
2.      Ab apps ko apne google account se connect kar le.
3.      Ek bar google account se connect hone ke bad jitni bar aapka phone activate hoga utni bar aapke google account par uski jankari bhej di jayegi.
4.      Sabse khas baat ye hai ki aapke phone ke chori hone ke baad aap apne phone ke password change kar sakte ho.
5.      Aap chaho to is apps ki madad se phone ke sare data delete / remove kar apne chori huye phone ko dead kar sakte ho.
7. Smart Phone Ki Soud Quality Badhana:
Bahut se phones me high volume speaker na hone ke karan adhik sound nahi hoti magar aap chahe to is trick se apne smartphone ki sound ko kafi had tak badha sakte ho. Iske liye aapko seese ke ek khali zaar ki jarurart padegi.
Smart Phone Ki Soud Quality Kaise Badhaye?
Apne smartphone me music on kar ke phone ko khali zarr me rakh de or result dekhe phone ki aawaz kafi had tak badh jayegi. Zaar me phone rakhne se speaker ke sound idhar udhar nahi failti or zaar ke upari khule hisse se ekdam bahar aati hai, isliye phone ki sound badh jati hai.
8. Use Your Phone as a Wireless Hotspot:
Ji haa, dosto aap apne smart phone ko modem, wireless ki tarah bhi use kar sakte ho. Bahut se logo ko iski jankari nahi hoti or wo apne computer ke liye new modem, wireless kharid lete hai. Mai unse kahna chahunga ki agar unke pas smart phone hai to unhe modem lene ki koi jarurart nahi hai.
Smart Phone Me Wireless Hotspot Kaise Use Kare?
1.      Apne phone ki setting me jaye.
2.      More option par click kare.
3.      ‘Tethering & portable hotspot’ par click kare.
4.      Portable WI-FI hotspot ko on kare.
5.      Ab Portable WI-FI hotspot ko left side par click kare or apne WI FI ke password set kare taki koi or aapke wi fi se net na chala sake.
6.      Ab apne PC me network search kare waha aapke phone ke wi-fi ka naam aa jayega. Apne password set kar ke connect kar le.
9. Set Mobile Data Limit:
Apne android mobile me aap ne ye option jarur dekha hoga par ise kaise use kare iski jankari shayad hi kuch logo ko hogi. Kei bar kya hota hai ki hum internet chalate rahte hai or jyada internet pack istmeal hota hai or jab MB khatm ho jati hai to humare sare paise bhi kat jate hai. Ye bat aap bhi jante hai ki net pack na ho to internet chalane par kitne adhik paise kat’te hai. Aaj mai aapko aysa tarika bta raha hu jiski madad se aapka ek bhi rupees nahi katega.
Mobile Data Limit Set Kar Ke Paise Kaise Bachaye?
Aap mobile data limit option par ja kar orange color ki line se data limit set kar sakte hai.
Man lo aapki sim me 200 MB hai or aap internet chala rahe hai. Isliye bar bar apna internet pack check karte rahte hai ki kahi pack khatm na ho jaye or aapke paise na kat jaye. Is problem ko khatm karne ka tarika smart phone me pahle se hota hai. Bas aapko data limit set karni hai.
1.      Agar aapke phone me 200MB hai to aap phone ke data limit setting me ja kar orange line se 190MB par data limit set karo.
2.      Ab jab aap 190mb use kar loge to smart phone data connection ko automatic band kar dega.
3.      So agar aap ye bhi set kar sakte hai ki aaj mujhe kitni mb use karni hai TO isse aapke paise nahi katenge or aapko smart phone pahle hi alert kar dega.
10. Use Multiple Google Account in One Smart Phone:
Agar aap apne smart phone me ek hi google account use karte ho to mai aapko bta du ki aap ek se jyada google gmail account bhi smart phone me ek sath use kar sakte ho. Isse aapko bar bar dusri id se log in karne ki jarurat nahi padegi or aapko 2-3 email ID manage karne me aasani hogi.
Smart Phone Me Multiple Google Accounts Kaise Use Kare?
1.      Apne phone ki setting me jaye.
2.      Ab account>> Add account par click kare.
3.      Apni email id se log in kare.
4.      Is tarah aap kei email id se log in kar sakte ho.
Apne phone 3-4 google account se jyada account se log in na kare warna aapki email id block bhi ho sakti hai. So main aapko yahi kahunga ki aap ek phone me kam se kam account se log in kare ya fir ek se sign out karne ke bad dusre se sign in kare.
Ummid hai aapko meri ye post pasand aayi hogi. Agar ye bat sach hai to is post ko share karke aap bhi humari help kare or agar aapko internet se related koi sawal pchna hai to mai aapko comment karne ko suggest karna chahunga.


Read next »

internet

Online Shopping Ki Site Real Hai Ya Fake Kaise Pata Kare

01:46

Online Shopping Ki Site Real Hai Ya Fake Kaise Pata Kare

Aaj ke time me har insan apni life me itna busy ho gaya hai ki uske pas shopping karne ka bhi waqt nahi hai. Iski wajah se Online Shopping logo ki pasand banti ja rahi hai. Pahle isme bahut kam log interested the but ab sabhi people online shopping karna jyada pasand karne lage hai. Magar online product buy karne me fraud websites ki wajah se aapko problem ho sakti hai or koi aapke sath dhoka cheating kar aapse paise loot sakta hai.

Mera kahne ka matlab ye hai ki aajkal internet par aesi bahut si website hai jo asli sites ki tarah hi hoti hai or asal me ye nakli site hoti hai or aapse shopping ke name par thaggi karti hai. Jin logo ko inke bare me pata nahi hota hai wo aasani se inka shikar ban jate hai.
Agar aap chahate ho ki aap future me kabhi farzi online shopping site ka shikar na bane to aapko real and fake online shopping site ke bare me details se jan lena chahiye taki jarurat padne par aap asli or nakli site ki pahchan kar sako.
Is post me main aapko farzi website ke bare me pata karne ke kuch tarike bta raha hu jinse aap easily kisi bhi fraud site ka pata laga sakte ho ki wo farzi site hai ya original website hai. Isse aapko koi pagal nahi bana sakega, aapke paise bekar nahi jayenge or aap achhe se online shopping kar sakoge.

Online Shopping Website Original Hai Ya Fraud Kaise Pata Kare

Agar aapko aesi kisi website par koi product pasand aa raha hai jiske bare me aapne pahle kabhi nahi suna hai to aesi site se turant shopping na kare balki pahle us site ke bare me achhe se pata kar le ki wo site asli hai or real me aapke sath koi cheating nahi karegi. Uske bad usse koi saman kharide.
Internet par hi aapko aesi bahut si sites mil jayegi jo aapko original or fraud site ke bare me jankari deti hai. In site par aap shopping site ke bare me bhi pata kar sakte ho.
Aesi hi ek site hai whois.com site par kisi bhi website ke domain ki full information, wo kitna old hai or use kitne year ke liye regiter kiya gaya hai, use kisne register kiya hai uske phone number, email address, address details with location etc. sabkuch pata kar sakte ho.
Iske alawa aap toolsvoid.com par ja kar kisi bhi E – commerce website ya company ki sari jankari pata kar sakte hai. Aap toolsvoid.com site par jaye or left side me MORE TOOLS option ke niche Host who is looking par click kare.
 Iske alawa aap urlvoid.com jo aapko ye btati hai ki company kab se business kar rahi hai or uski online services real hai ya fake or is site se online shopping karne par aapke sath dhoka to nahi hoga.

Yaha par aap site kitni purani hai or site ki full information pata kar sakte ho. Aapko bta du ki jo website fake hoti hai wo purani site hone ka dawa karti hai.
Agar aapko kisi company ki asaliyat janni hai to aap uski website par jaye or site ke niche ki taraf scroll down kare. Site ke footer par copyright likha hua hota hai or waha par About us, Contact us, Faq, Privacy Policy jaise jaruri links add kiye huye hote hai.
Agar kisi site ke niche ye links add nahi hai to wo fake website ho sakti hai or aesi site se bhool kar bhi online shopping na kare.
Humesha only unhi sites se online shopping kare jinke url se pahle HTTPS laga ho. Is type ki sites bharoshemand or secure hoti hai. Kabhi bhi bina https ke khulne wali website se shopping na kare.
Aap URL ke log in icon se sahi site ke bare me pata laga sakte hai. Asli site ke url se pahle lock ka nishan hota hai. Dhyan rahebahut si site original sites se milta julta url use karke logo ko bewkoof banati hai. So kisi bhi activity se pahle sites ke link ko achhe se check kar le.
Sabse badi bat E-commerce websites par bank payment karne ki service deti hai. Kei bar bahut site aapke bank account ki details le kar aapko murkh banati hai. SO jab bhi aap online payment karo to check kar le ki wo kisi bank ki service hai ya koi or site hai.
Agar koi big company kisi product par jyada discount nahi de rahi hai or usi product par koi or company bhari discount de rahi hai to ho sakta hai wo discount ka lalach de kar aapko thag sakti hai.

Agar aapko ye post pasand aaye to ise social media par share jarur kare.
Read next »

computer

Mozilla Firefox Ka New Update Latest Version Kaise Install Kare

01:43

Mozilla Firefox Ka New Update Latest Version Kaise Install Kare

Mozilla firefox ko chalane walo ki aaj bhi kami nahi hai. Google chrome ke bad dusra number isi ka aata hai. Mostly people chrome and mozilla in dono browser ko hi use karte hai. So agar aap mozilla firefox browser istemal karte hai to aapke liye good news hai ki firefox ka new update mozilla 50.0 latest version release ho chuka hai. Ab aap apne firefox browser ko upgrade kar or better bana sakte hai.

Actually, aapko mozilla firefox ke new version me simply koi badlav dikhayi nahi denge but real me isme bahut kuch badlav kiye gaye hai. Isme keyboard shortcuts ko update kiya gaya hai or browser security increase ki gayi hai. Ye aapko tabhi pata chalega jab aap iske feature ko deeply check karenge.
Mozilla firfox 50.0 version Windows, Linux, Make, OS, Android and some devices ke liye available hai. Baki ke liye bhi jaldi hi available ho jayega. I sure ab aapko mozilla ko istemal karne me aasani hogi or aap pahle se behtar internet chala sakoge.

Mozilla Firefox 50.0 Me Kya Kya Updates Aayi Hai?

Actually, main chrome browser ka fan hu or mozilla browser bahut kam istemal karta hu. So mujhe isme itna interest nahi hai. But jo log ise pasand karte hai unke liye ye wakai kamal ka hai.
1.      New version me browser ecurity badhai gayi hai.
2.      Keyboard shortcut me badal kiye gaye hai new shortcut kamal ke hai.
3.      More option yani or jyada features add kiye haye hai.
4.      Availability increase ki gayi hai.
5.      Windows and linux ke liye large number ka download protection add kiya gaya hai.
6.      Emoji and native emoji feature add kiya gaya hai jo ise more awesome banata hai.
7.      SK extension ki performance improve ki gayi hai.
8.      Page search karne ke liye user ke lyie extra features add kiye gaye hai.
Iske alawa bhi bahut sare updates hai jo aapko mozilla firefox ke new version ko use ke bad pata chal jayenge. Wese bhi mozilla kafi time bad update hua hai so isme bahut kuch behtar kiya hua hoga.

Mozilla Firefox Browser Ka Version Kaise Check Kare

Bahut hi simple hai or shayad ye to aapko pahle se pata hoga. Chalo agar nahi bhi hai to main iske step bta deta hu.
Step 1:
1.      Sbse pahle aap mozilla firefox browser ko oepn kare.
2.      Ab left corner me firfox button par click are.
3.      Ab drop down menu me right me options >> options par click kare.
4.      Agar option show na ho to ALT key prase kare option show ho jayega.

Step 2: 
1.      Ab ek pop-up windows open hogi. usme right side me Advanced par click kare.
2.      Update option par click kare.
3.      Yaha par aapke pas automtically update, manually updae or never update ke 3 option honge. Aap automatically update par tick kare or agar aap bad me update karna chahate ho to second option select kare.
4.      Show Update Historty me aap abhi kounsa verison use kar rahe ho wo check kar sakte ho.
5.      Finally save par click karke setting save kare.

Mozilla 50.0 Latest Version Download / Install / Upgrade Kaise Kare ?

Yaha maine topic hai ki aap mozilla ka latest version 50.0 kaise or kaha se donwload kar sakte hai. Iske liye aapko jyada kuch karne ki jarurat nahi hai. Aap Mozilla.org site par ja kar direct latest version download kar sakte ho.
By the way, agar aap pahle se intalled mozilla ko hi upgrade karna chahate ho to ye ye step follow kare.
Step 1:
1.      Apne desktop PC me mozilla firefox ko open kare.
2.      Top sidebar me help par click kare.
3.      Agar help ka option show na ho to alt key button dabaye.
4.      About Firefox par click kare.

Step 2:
Ab ek pop up windows open hogi. Agar abhi aapke PC me internet data on hai to isme aap dekh sakte hai ki browser update chalu ho rahi hogi. Update check karne wale step me first option yani automatically update select karne par hi ye downloading shuru hogi.

·         Is tarah se aap mozilla firefox browser ka latest version check kar sakte hai or direct mozilla site se ya fir old browser ko hi upgrade or update kar sakte hai.
Mozilla or chrome dono best hai but chrome me jyada data use hoti hai or mozilla me kam internet pack lagta hai. Isiliye wajah se users ise pasand karte hai. I hope aapko is post se achhi help milegi or ab aap easily mozilla firefox ka latest version install kar sakenge.

Agar aapko ye post pasand aaye to ise social media par apne friends ke sath share jarur kare.
Read next »