Youtube kya hai aur Youtube par channel kaise banaye

00:54



Youtube kya hai aur Youtube par channel kaise banaye
Aaj kal social media ek bhut hi accha tarika hai apne well wishers se connected rahne ka, chahe aap kahi par bhi ho, aap apne business, friends aur relative se asaani se connected rah sakte ho.
Social media ka naam sunte hi hume bhut si app yaad aa jaati hai hai jaise Facebook, Whatsapp, Youtube etc. In sabhi apps ka use hum apno se lagatar connect hone ke liye kar skate hai.
Lekin ek bhut hi zaroori baat ye bhi hai ki hum in apps se paise bhi kama sakte hai ya shyaad aap bhi in websites/apps se paise kama bhi rahe ho.
Toh aaj hum aapko btayege ki aap kis parkar youtube par abhi apna ek channel badi asaani se bana sakte ho. Kyuki youtube banne se aap youtube par videos, tutorial, motivational speechdaal kar bhi paise bhi kama sakte hai.
Youtube kya hai :
Youtube ek parkar ki social networking website hai , jaiseFacebookInstagramBlogger etc. Lekin youtube par aap article ya post likh nhi sakte ho. Youtube par apna ek Channel banakar us channel ke jariye apni videos daal sakte ho. Ye videos kaisi bhi ho sakti hai, lekin ek baat ka dhyaan rakhe ki ye videos kisi bhi parkar ye youtube ki privacy ko effect na karti ho.
Youtube par videos daal kar aap ek acchi khaasi earning pr kar sakte ho, aur bhut se log isse acchi earning kar bhi rahe hai.
Youtube ki shuruwaat Chad Hurley, Steve Chen aur Javed Karimne 2005 me ki thi. Youtube ye teeno young founder pehle PayPal ke liye kaam karte thy.
Youtube par sabse pehla videos iske co-founder Javed karim ne23 April, 2005 me upload kiya the, jiska naam tha “Me At The Zoo”
Youtube par channel kaise banaye :

Youtube Channel banane ke liye sabse pehle aapko youtube.compar jaana hoga.
Website par jaane ke baad aapko right side par bane blue color ke Sign In box par click karna hoga.

  

Jaise hi aap sign in par click karoge toh aapke samne gmail ka ek form bana hua aa jayega, isme aapko apni gamil ke e-mail idko fill karna hoga aur next step me apna password daalna hoga.

Jaise hi aap Youtube par sign in kar lete ho, toh aapke samne left hand side par My Channel ke naam se ek option bana hua aa jayga, aapko is option par click karna hoga.
Next step me aapko Create Channel par click karna hai.
Isme aap agar aapni profile pic ya cover image lagana chahte ho toh Add Channel Art par click karke apna cover page ya profile pic add kar sakte ho.
Next step me aapko Right side par profile icon par click karke, usme bane Gear Box par click karna hoga.
Click karne ke baad aapke samne kuch aisa form bana hua aa jayga, jisme aapko View Additional Features par click karna hai.
Abhi tak aapka youtube channel verify nhi hua hai , toh isko verify karne ke liye aapko Verify button par click karna hai.

Jab aap verify button par click karte ho toh aapke samne ek aisa form open ho jaata hai, ab account verify karne ke liye aapke samne 2 option aate hai.
        Ya toh aap apne mobile no. par call ke jariye OTP (opne time password) le sakte ho.
        Ya phir aapke text message ke jariye OTP mil jayga.
Iske baad neeche bane box me aap apna Mobile Number fill kar sakte ho aur submit par click kar sakte ho.
Next step me aapke mobile phone par jo 6 digit ka OTP messageaaya hai usko aap is field me fill karke submit kar sakte ho.
Submit karne ke baad aap Continue par click karke aage badh sakte ho.
Jaisa ki is Screen Shot me hum dekh sakte hai, ki aapka account ab verified ho gaya hai. Toh ab aap isko use kar sakte hai. ap is par ab apni videos uploade kar sakte hai.

You Might Also Like

0 comments