Computer Keyboard Ke Top 40 Best Shortcuts Internet User Ke Liye
01:38
Computer Keyboard Ke Top 40 Best Shortcuts Internet User Ke Liye
Internet par aap new ho ya old. kei bar kuch log aapse internet use
karne me behtar nikalte hai. Actually, unhe computer keyboard ke shortcuts ki
information hoti hai. Jinke bare me shayad aapko pata nahi hota hai or wo aapse
jaldi work karte hai. In this post, mai aapko computer keyboard ke top 40 best
amazing shortcuts ke bare me bta raha hu jo aapke online work ko bahut jyada
aasan bana denge.
·
Is
post me mai aapko computer laptop desktop par onlime work karne walo ke liye
keyboard ke top 40 shortcuts ke bare me bta raha hu. Jinse aapki typing speed
fast hogi or aap kam time me jyada words type kar sakenge. Sath hi time west
nahi hoga or aap ghanto ka kaam minutes me kar sakoge.
Agar
aap in sabhi keyboard key button shortcut ko ache se samajh lo to mai dave se
kah sakta hu ki jis post ko type karne me aap 2 hours lete ho use aap 1 hours
me type kar doge. Kyuki in shortcuts ki madad se bahut se kaam easily ho jate
hai.
Internet Lovers Ke Liye Computer Keyboard Ke Top 40 Shortcuts
1. Ctrl+1: (1 se le kar 8 tak sabhi number work
karte hai) Is shortcut ki hel pse aap browser me khule tabs ke bich shafal kar
sakte hai. Ctrl ke sath jo bhi number dabaya jayega us number ka tab khul
jayega.
2. Ctrl+9: Kisi
bhi browser me open last tab par jane ke liye.
3. Ctrl+tab: Jis tab par aap hai usse next tab par
jane ke liye. Iske liye aap iske alawa Ctrl+page up ka bhi istemal kar sakte
hai. But ye shortcut internet explorer par kaam nahi karta.
4. Ctrl+Shift+Tab: Jis tab par aap hai usse pahle wale tab
par jane ke liye.
5. Ctrl+W
ya Ctrl+F4: All tabs ko
band karne ke liye.
6. Ctrl+Shift+T: Galti se band kiye gaye aakhri tab ko
fir se dubara open karne ke liye.
7. Ctrl+T: New tab ko kholne ke liye.
8. Ctrl+N: New browser windows kholne ke liye.
9. Alt+F4: Browser ko band karne ke liye.
10. Ctrl+Left
click, Middle click:
Background me mojud kisi bhi link ko dusre tab me kholne ke liye.
11. Shift+Left
click: Kisi
bhi link ko other browser windows me open karne ke liye.
12. Ctrl+Shift+Left
click: Kisi
bhi link ko pahle wale tab me kholne ke liye.
13. Alt+Space: Maine
menu open karne ke liye.
14. Alt+Right
arrow, Shift+Backspace:
Online video ko forward karne ke liye.
15. F5: Page reload karne ke liye.
16. Esc: Off karne ke liye.
17. Alt+Home: Browser ka home page load karne ke liye.
18. Ctrl+plus: Page ke content ko zoom in karne ke
liye.
19. Ctrl+minus: Page content ko zoom out karne ke
liye.
20. Ctrl+0: Page ko default zoom par set karne ke
liye.
21. F11: Full screen mode par le jane ke liye.
22. Space
bar or Page up: Web page
ko scroll karne ke liye.
23. Shift+Space: Web page ka scroll up karne ke liye.
Upar ki or jana.
24. Home: Web page par sabse upar jane ke liye. I
mean back to top.
25. End: Webpage par sabse niche jane ke liye.
26. Middle
click: Mouse ke movement
par webpage ki scrolling set karna.
27. Ctrl+L,
Alt+D, F6: Address bar par
focus karna taki us par type kiya ja sake.
28. Ctrl+Enter: Address bar me agar koi word type karne
ke bad agar Ctrl+enter key button dabaye jaye to us word se pahle automatically
www. or bad me .com lag jayega.
29. Alt+Enter: Address bar me type kiye gaye link ko
dusre address bar me open karna.
30. Ctrl+F,
F3: Web page par search
karne ke liye.
31. Ctrl+G: Web page par agla match karne wala text
item khojne ke liye.
32. Ctrl+Shift+G,
Shift+F3: Web page par
pichla match karne wala text search karne ke liye.
33. Ctrl+H: Browsing history open karne ke liye.
34. Ctrl+J: Download history kholne ke liye.
35. Ctrl+D: Jis website ko khola hua hai use
bookmark karne ke liye.
36. Ctrl+Shift+Delete: Browsing history delete karne wali
windows kholne ke liye.
37. Ctrl+P: Khule huye web page ko print out karne
ke liye.
38. Ctrl+S: Khule huye page ko computer laptop me
save karne ke liye.
39. Ctrl+O: Apne computer PC me save ki huyi koi bhi
file open karne ke liye.
40. Ctrl+U: Kisi
bhi web pages ko source code kholne ke liye.
Note: Inme se kuch keyboard shortcutes
internet explorer browser me work nahi karte hai. I sure chrome browser,mojila
firefox me aal shortcutes work karenge.
·
Online work karne ke liye aapko typing ki basic information hona bahut
jaruri hai or typing me fast hone ke liye aapko keyboard shortcuts ki jankari
bhi honi chahiye taki aap bar bar mouse use na kare. Isse aapka time bhi
bachega or aapki typing speed better hogi. Sath hi aap ka samay me adhik kaam
kar sakoge.
I hope aapko is psot me
computer keyboard shortcutes ke bare me achi information mili hogi. So is post
ko social media par apne friend ke sath jarur share kare.
1 comments
I am really thankful to the blog owner for helping us by giving valuable inputs.Good Post! Thank you so much for sharing this pretty post, it was so good to read and useful to improve my knowledge as updated one, keep blogging…Visit here for Best MIDI Keyboards Under $100.
ReplyDelete