Blogging Kis Topic Par Start Kare 20 Most Popular Topics Ideas
01:38
Blogging Kis Topic Par Start Kare 20 Most Popular Topics Ideas
Blogging discussion and informational website hai jis par
aap apne thoughts share karke online public ki help kar sakte hai or apna
business grow kar sakte hai. Aaj internet par millions blogger online hai or
multiple niche par blogging kar rahe hai. Inme se kuch topics wale blog most
popular hai. Aaj hum unhi ke bare me mbat karne wale hai.
Agar
aap consumer engagement, revenue growth karna chahate ho to aap bilkul aesa kar
sakte ho. But bahut sare log blogging karna chahate hai lekin wo ye decide
nahi kar pate ki unhe kis topic par blog banana chahiye or unke lbog ka niche
kya hoga.
I mean new blog starting karne walo ke liye What do we blog
about? bahut bada question hai or iska simple sa answer bhi hai.
Jab
aap blogging starting karne ke liye kisi blogger ya website owner se bat karoge
to 90% blogger ka jawab hoga ki
″Aap
us topic par blogging shuru kare jo aapko pasand ho or jis par aap long time
tak writing kar sako”
These
answer is absolutly right. Matlab Ye jawab bilkul sahi hai.
But
mostly log is answer se satified nahi ho pate hai or wo fir bhi apne blog
ke liye correct niche select nahi kar pate hai. So aaj main aapko is post me
kuch most popular blog topics ke bare me btane ja raha hu. Jinme se aap kisi
bhi niche ko choose kar apne blog ko popular bana sakte ho.
Blogging Ki Shuruaat Karne Ke 30 Most Popular Topics Ideas in Hindi
Aapko
sirf itna pata hona chahiye ki aap kya karna chahate ho or aapko kya karna
chahiye or aap logo ke liye kya kar sakte ho. Yaha par btaye gaye kafi famous
hai or aap inme se kisi bhi niche ko select kar blogging me successful ho sakte
ho.
1. Recipes
Blog par traffi
graw karne ka recipes bahut achha tarika hai bahut sare blogger mostly ledis
blogger pakwane ke bare me content likhti hai.
Agar aap women ho to ye topic aapke liye best ho sakta hai. Kyuki isme
humesha kuch na kuch new item banane ke bare me articles likh sakte ho or khane
pakane ki cheeze humesha change hoti rahti hai.
2.Frequently asked questions
Aksar log
content padhne se jyada sawal puch kar direct apni problem solve karwana
chahate hai. Aap kisi niche ko choose karne ke sath sath blog par sawal jawab
service bhi enable kar sakte ho.
Aese me agar aap
apne blog par logo ko jaldi or sahi jawab de sakte ho to aapke blog ko popular
hone se koi nahi rok sakta kyuki aap thak sakte ho but user aapse question
puchte huye nahi harenge.
Google question
answer site ko sabse jyada pasand karta hai. Is time google par isse related
6,37,00,00,000 results available hai. Agar aap lucky ho to aapki site in sabhi
me top par ho sakti hai.
3.Product Review
Hum jab bhi kisi product ko online purchange karna chahate hai to use
buy karne se pahle uske bare me jankari pata karna chahate hai but kei bar hume
kuch product ki jaruri information nahi mil pati hai.
4. Tech Support
Bahut sari
companies hardware and software technology services offer karti hai. Aap tech
support blog bana kar techniqal support bana sakte ho or in company ke sath
deal kar sakte ho.
Internet par
aapko Microsoft, Google and facebook par aapko millions articles mil jayenge
jin me technogy se related knowledge share ki jati hai.
5. Interview
Internet par
bahut sare blogger work kar rhae hai or user content se jyada unke bare me
janna chahate hai. Aese me agar aap bloggers ke liye special interview wala
blog banate ho to aapka blog bahut kam time me popular ho sakta hai.
Is time interne
bloggers se ocean ki machliyo ki tarah full bhara hua hai. Aese me aap
navik ban kar is ocean me apni image highlight kar sakte ho.
6. Internet Stars
Internet par kis
field me kya or kon log famous hai. Is bare me blog banana bhi aapko kam time
me popular bana sakta hai.
Aap most people
ke bare me likhna hai jaise “Top indian blogger 2016”. Isse aapko bahut sare
biggest internet stars follow karenge or aapka traffic easily increase hoga.
7. Interent of Things
Aaj internet
logo ko ek dusre se jodne me itna aage nikal gaya hai ki ise big ocean kahna bura nahi
hoga. But abhi bhibahut sare aese person bhi hai jo internet ke bare me bilkul
ya bahut kam jante hai.
8. Upcoming Events
Jab bhi koi
upcoming event ho to aap uske bare me articles likh kar readers ko notification
de sakte hai. isse log aapke blog ko sabse jyada like karenge.
Aaj har koi kuch
na kuch new sikhna chahata hai aese me aap blgo par new last update news par
ocntent likhenge to user aapke regular reader ban jayenge.
9. Motivational Story
Hum jab thak
jate hai ya hume kisi kaam me nirasha milti hai to hum jarurat hoti hai ek
sahare ki jo humari too chuki power ko fir se jod sake.
Isme kei bar
kuch logo ki kahi bate bahut kam aati hai or hare huye insan ko fir se ladne ki
sikh de jati hai. Jisse hume fir se apna kaam complete karne ki taqat milti
hai.
Agar aap logo ke
lite inpirational or motivational content likho jo i hope public aapke blog ko
like karegi. Kyuki achhikhabar.com or hindisoch.com
jaise bahut se blogger hai jo motivate karne wale contentlikh kar logo ki help
karte hai.
10. Beginner Guides
Bahut sare user aese hai to internet par online kuch na kuch sikhna
chaahte hai. Agar aap logo ko kisi topic me guide kar sakte ho to aapko guiding
par apna blog bana sakte ho.
WPbeginner.com ek
aea blog hai jo only WordPress platform par guiding content likhta hai or
kafi popular bhi hai and main khud bhi ek blogging guider blogger hu jo aapko
yaha is post me blogging topic ke bare me guide kar raha hu.
11. Travel
Isme koi shaq ki
bat nahi hai ki travel ek most popular blog topic ho sakta hai. Log humesha
journey karte rahenge or aap always logo ke liye writing karte rahenge.
World me jab bhi
koi person apni journey start karna hai to wo isse related jankari internet par
jarur search karta hai. Abhi google me travel se related 66 thousand million se
bhi jyada search resulta hai.
12. Funny Stories
I know aaj ke
time me har koi apne work ko le kar serious hai but duniya me aese logo ki aaj
bhi kami nahi hai jo funny stoires read karne me interested hote hai. Mostly
indian people funny information padhna pasand karte hai.
Agar aap me logo
ko hasane ka or kuch na kuch funny karne ka talent hai to aap bilkul is topics
par blog bana sakte ho. Iski sabse achhi bat ye hai ki aapko articles likhne ke
ideas ke liye problem nahi hogi.
13.How to series
Internet par
bahut sare aese blog hai jin par helping articles yani how to wale content
share kiye jate hai. Google par user isi se related jyada searching karte hai.
Example ke liye
aap wikihow.com
site ko dekh sakte ho jis par how to articles share kiye jate hai or ye site
bahut hi jyada popular hai.
Agar aapko blog
kel iye koi good niche nahi mil raha hai to aap how to series par content
likhna shuru kar sakte ho or logo ke sawalo ke jawab de kar apne blog ko
pupular bana sakte ho.
14. Productivity Tips
People humesha
apne kaam me or jyada better karna chahate hai. Isme aap unki help kar sakte
ho. Bahut sare bloggers aese hai to blogging me kamyab hone ki tips search
karte rakhte hai.
Aap blogging,
technology jaise topics par productivity tips share kar ke logo ki help kar
sakte ho. Examples, Blogging me logo ke help karne me shoutmeloud.com
ek best blog hai jo most popular blog hai.
15.Politics
Politics topic
ek aesa topic hai jis par jitna likhoge kam hai. Log iske bare me bahut jyada
padhna chate hai. Jab election hote hai to us year me ye topic most popular ban
jata hai.
Aap poltical
topis me poltical leaders ke bare me likh sakte ya fir aap iske kisi bhi
point ko focus kar writing kar sakte ho.
16. Advice or Consult
Jis tarah love
me rose yani gulab ka phool important hota hai usi tarah har subject me
lifehacks and lifehacker ye dono word important hai.
Logo life enjoy
karne ke liye tips search karte rahte hai. Aap life adivces ke bare me
content likh kar logo ko motivate kar sakte ho.
17. Myth – Debunking
Internet ek aesi
jagah hai jis par aap name or paisa dono kama sakte ho. Kuch log sochte hai ki
internet se paise anhi kama sakte. Ye ek aesa
myth hai jise sun kar mujhe hansi aati hai. Sirf yahi hi nahi iske alawa bhi
bahut si aesi bate hai jo sirf bakwas hoti hai.
Logo ko bahut si
cheezo ke bare me galatfasmiya hoti hai or wo unse connect hone me darte hai.
Aap is topics par blogging kar sakte hai or logo ko sahi jankari de kar apne
blog ko pupular bana sakte hai.
18. Troubleshooting Guides
Hum koi bhi work
kar le har kaam me kabhi na kahi koi issue aa hi jata hai. Aesa koi work nahi
hai jisme kabhi koi problem na ho.
Internet par
WordPress and Blogspot 2 most popular blogging platform hai. Inko use karne
wale blogger ko bloggging me problems aati rahti hai.
Aese me aap
troubleshooting guides wale content likh kar logo ki help kar sakte hai. Aese
blog par bahut jyada traffic hota hai jo logo ki pareshaniya solve karte hai.
Aap aese logo ke
liye internet topic par blogging kar sakte ho or logo ko internet ke bare me or
internet ki importance ke bare me bta kar unhe internet ki jankari share kar
sakte ho. Blogging ke liye ye sabse better niche hai.
19. Virtual Reality
Internet par
aesi bahut sare fake websites hai jo big offer ka lalach de kar logo ko bewkoof
banati hai or illegal tarike se work karti hai.
Agar aapko isme
interest hai to aap virtual reality wala blog bana sakte ho jisme aap logo ki
fraud people or companies ke bare me sahi jankari de kar motivate kar sakte ho.
Examples, Abhishek mishra jo apne youtube
channel ke throw frauding ke bare me reality information share karte hai.
20. Sourced News
Source news and
media attention ek great way hai jisse ap blog par a lot of traffic kama sakte ho. Har field me update hoti rahti hai. Agar
aap logo tak iski notification pahuchane me intereset ho to aap sourced news
topics wala blog bana sakte ho.
Aap kisi main
topics par news update article likh kar blog traffic ko dominate kar sakte ho.
Mostly, aap google search engine ke bare me content likh sakte ho. Examples,
bahut sare blogger or main bhi google SEO ke bare me posts write karta hu.
Jisse logo ko apni site google me top par lane me help milti hai.
Conclusion,
Popular
topics aate jate rahte hain so main aapko suggest karunga ki aap apne interest
ke topics par blogging kare or blog ka niche aapki pasand ka hoga to aap kabhi
bhi us topic par work karne se parhez nahi karoge or aapko kabhi thakan mehsoos
nahi hog.
Jab
hum apni pasand ka kaam karte hai to usme humari puri lagan hoti hai or hum
usme jarur kamyab hote hai. Jabki jo hume pasand nahi wo kaam marne me humara
man nahi lagega or hum wo kar nahi payenge.
Sppose, Agar hum aesa koi kam karte hai jisme hume interest na
ho to kuch time bad humara usme interest kam ya khatm ho jayega or hum use
chord denge.
0 comments