Bluehost India Affiliate Marketing Program Se Paise Kaise Kamaye

01:38


Bluehost India Affiliate Marketing Program Se Paise Kaise Kamaye

Hi guys, mera name lovepreet hai or main jankariin blog ka founder hu. Is post main aapko bluehost affiliate marketing ke bare me bta raha hu. Apne blog se paise kamane ka adsense ke alawa affiliate marketing sabse achha source hai. Lagbhag sabhi companies apna affiliate campaign run karti hai. Is category me sabse achha commission hosting companies provide karwati hai. Bahot bloggers esa sochte hai ki hindi blog se affiliate ko promote nahi kar sakte ya promote karna muskil hai. Aap bluehost india ke affiliate program se achhi earning kar sakte ho.
Jabki aesa nahi hai hindi bloggers apne blog se hosting ko promote kar achha commission earn kar sakte hai. Aap apne blog se bluehost india affiliate program ko promote kar achhe rupay kama sakte hai. Main yaha par aapko bluehost ke bare me bta raha hu.
Why Choose Bluehost India Affiliate ?
·         High commission per sale 4000 Rs per sale.
·         Real time tracking.
·         Provide quality banner and links.
·         Give every month off coupons.
·         Easily approve everyone for affiliate.
·         Long cookie duration.
How To Join Bluehost Affiliate Program ?
Iska affiliate join karne ke liye Bluehost Affiliate signup page par jaye. Join now par click kare or apna details email, blog or address jo bhee require ho fill kare.
Complete Signup process ke bad aapko email aayega or aapka account 24 hour me approve ho jayega. Approve hone ke bad aap is ko promote kar sakte hai.
1. How Do they Track Your Sale ?
Bluehost india unique link provide karta hai. Aap apne link ko promote karte hai, blog post ,social media ya advertising se or user link par click karta hai or signup karta hai to aapko mail receive hoga you made a sale. Aap apni sales ko apne dashboard me dekh sakte hai.
Sabhi affiliate sale aapke link se track hoti hai. Bluehost india 30 days ka cookie duration provide karwata hai means aapke affiliate link par click hone k bad agar user 30 days ke andar signup karta hai to aapko commission milta h.
2. How Much Bluehost India Offer per sale ?
Hostgator or other company sales per depends hoti hai. Aap jitni sale karte hai aapka commission increase hota rahta hai. Agar aap sale 2 ya 3 kar pate ha 1 month me to aap commission low receive karenge.
But Bluehost india sales ke number par depends nahi hota. Iska per sale commission 4,000 INR hai. Aap adhik sale kar sakte hai to affiliate manager ko mail kar apna commission increase karwa sakte ho.
3. How To Withdraw Bluehost Affiliate Earning ?
Aap apni affiliate earning direct apne bank account me transfer kar sakte hai. Apne bank account ki details my profile me jakar complete kare. Minimum payout 10,000 INR hai.
Aapki Earning minimum pay out ko cross karne par aapko automatic aapke account me transfer kar di jati hai.
4. Dashboard:-
Aapka account approve hone ke bad aap login kar sakte hai. Log in karne ke bad dashboard open hoga janha aap apni earnings, affiliate link, banner or profile ko manage kar sakte hai.
5. 1.% commission:
Is menu option me aapke affiliate se hone wali sale ka complete details show hoti hai. Sale ka commission, konsi hosting purchase hui hai, time or sale ka status show hota hai.
6. Banners& Links:
Aapke dashboard ka important menu ye hai. Is menu me ja kar aap apne blog ke anushar banner ads bana sakte hai. Agar aap different – different campaign run kar rahe hai to unko easliy track karne k liye aap yanha se campaign bana kar track kar sakte hai
7. Reports:
Is section me aap anpe account ki summary dekh sakate hai. Is section me display hone wali details ye hai.
·         Quick Status.
·         Trends Report.
·         % Commission.
·         URL click.
·         Your payouts.
·         Sub affiliate reports etc.
8. My Profile:
Is section me ja kar aap apni personal details ko update kar sakte hai or sath hi aap apni payment details bhee update kar sakte hai. Aap konse email apni email par receive karna chahate hai is ko manage kar sakte hai.

How to Promote Bluehost India for Maximize Your Earnings

Jo is post ko read kar rahe hai un me se kuchh pahle se hi join kar chuke hai ya join karenge. Kisi bhi network ko promote karne se pahle ye pata hona jaruri hai ki usko promote kaise kiya jayeya.
Promote karne ke konse achhe tarike hai jinse earning ko increase kiya ja sakta hai. Bluehost ki hosting ko promote karne ke best method niche point se bta raha hu.
1. Write Reviews Content About Hosting Providers:
Hosting affiliate me review likhna sabse best hai. Aap apne review me best tarike se hosting company ki details, feature, price, service or ise kyu use kare, iski complete details likhe. Review write karne se blog par traffic bhi jyada aati hai or agar user ko aapka review achha laga to wo hosting purchase karega. Review me aap apne affiliate link ka use jarur kare.
Review writing se sale hona blog ke niche par depend hota hai. Agar aapka niche blogging ya technology hai to sale aasani se ho jati hai. Average Review writing se sale ke liye 100 visit require hote hai.
2. Place Banner And Link in your blog:
Bluehost affiliate banner or link provide karta hai jo aap apne dashboard me ja kar create kar sakte hai. Aapki link unique hoti hai.
Links or Banners ko aap apne blog me use kare. Affiliate link ko apne blog post, email or social media ka upyog kar ke share kare.
3. Write discount Code post:
Bluehost special discount code mail karta hai. Aap iske bare me apne blog par post likhe or details me write kare ki kaise discount prapt kare. Bahot user discount coupon dekhte hai.
Aese me aap code dekh kar aasani se sale kar sakte hai. Apne blog readers ko code provide karwana affiliate program se earning ka best part hai.
4. Use Adwords And Facebook:
Apni sale increase karne ke liye aap facebook or adwords ka istemal kar sakte hai. In se advertisemen tkarne se sale kar sakte hai.
Facebook se advertising karna costly nahi hai. Post ko boost karwa sakte hai per click ki campaign bana sakte hai. Adword costly hai but adwords se campaign run karna best h apne right audience tak jane ke liye. Adwords is very costly you may lose your money so use write keywords and set right CPC.
5. Make Youtube Videos:
Youtube par bluehost ke tutorials ke videos bana kar upload kare. Videos se aasani se samajh aa jata hai isiliye maximum user youtube ko prefer karte hai or jyadatar videos dekh kar hi kisi metter ko samajhne ki koshish karte hai.
Try kare high quality videos upload karne ki or apna affiliate URL description box me link kare. Also Make videos on off coupons or videos ke last me apne blog ka link bhi add kare
How to prevent bluehost affiliate account by blocking:
·         Cashback or rewards offer nhikre.
·         Banner exchange or pay per click campaign use nhikre.
·         Direct affiliate urlka use nhikre advertising keliye (for example Facebook or Adwords par apni affiliate link ko use kar direct bluehostke website par redirect nhikre.)
·         Apne Affiliate urlse related domain purchase nhikre or bluehost par redirect nhikre.
·         Bluehostki website ki copy nhikreapne blog post me.
Final Words:
Affiliate se earning har blogger karna chahta hai lekin bahut logo ko isme success nahi mil pati hai. So agar aap affiliate program se earning start karna chahte hai to pahle apna goal set kare.
Aapko kis affiliate program ya campaign se kitna earn karna hai or uske bad aap blog post, advertising campaign se promote kare.
Agar aap apna goal achieve nahi bhi kar pate hai to aapko experience milega or next time ke liye best strategy bana payenge. I mean agar aap tay ki gayi jitni kamayi nahi bhi kar paoge to aapki us bare me knowledge jaruri badhegi jo futue me aapke kaam aayegi.
Agar aapko ye post achhi lage to ise social media par share jarur kare.

You Might Also Like

0 comments