Computer Me Ye 10 Software Jarur Install Kare, Humesha Kaam Aayenge
01:44
Computer Me Ye 10 Software Jarur Install Kare, Humesha Kaam Aayenge
Computer desktop ho ya laptop sabhi ke liye software ki jarurat hoti
hai or jab hum koi new pc kharid kar late hai to sabse pahle man me yahi khyal
aata hai ki mere computer me koun kounse software install hone chahiye or konsi
jaruri hai. Market me itne sare softwares aa gaye hai ki badiya konsa hai
decide karna mushkil ho jata hai. So aaj main yaha aapko computer ke un 10
software ke bare me bta raha hu jo aapke humesha kaam aayenge.
·
Market
me bahut sare softwares available hai but wo sabhi useful or jaruri nahi hote
sirf kuch software aese hai jinki har user ko jarurat hoti hai or computer par
work karne me jo humesha kaam aate hai. Wese bhi computer me jyada software
install karne se uski speed slow ho jati hai so fast speed ke liye kam se kam
software istemal kare.
Aapke
PC me jitne kam software install honge computer utna hi better work karega.
Main yaha aapko jin software ke bare me bta raha hu unke bad aapko or software
ki jarurat nahi. Sabhi log inhe hi istemal karte hai or lagbhag har ek desktrop
user ko inki jarurat hoti hai.
10 Software Jo Aapke Computer Me Jarur Hone Chahiye, Inki Hmesha Jarurat Padti Hai
ye
aese software hai jo jo hard disk me kam space banate hai or fast work karte
hai. Inhe easily install kiya ja sakta hai or sabse achhi bat ye hai ki ye
sabhi user friendly hote hai koi bhi inhe aasani se istemal kar sakta hai. Aap
bhi inhe aaram se manage kar loge.
1. Adobe Photoshop:
Computer
par photo editing, create karne ke liye software ki jarurat hoti hai or iske
liye photoshop sabse better option hai. Ye world famous or photo edit
karne ka sabse badhiya software hai. Wese ye software thoda hard or aapko ise
chalane ke liye thodi bahut basic jankari ki jarurat hogi.
Agar
aap google or youtube par “Photoshop Kaise Istemal Kare” search karoge to is
bare me bahut sari posts or videos mil jayegi. Jinse aap aasani se adobe
photoshop ko handle kar sakte hai. Isse aap ghar baithe aasani se photoshop ko
istemal karna sikh sakte hai. ye ek aesa free software hai jisse aap man chahe
jaisi picture bana sakte hai.
2. Antivirus:
Aapne
new computer buy kiya ho ya aapke pas old computer hai dono ke liye anti virus
ki jarurat sabse pahle hoti hai or PC ki security ke liye ye bahut jaruri hai.
Naya computer ya laptop lene se sabse pahle usme antivirus install kare. Market
me kei tarah ke anti virus software avaialable hai.
Agar
aap internet par “Top Antivrus for Computer” likh kar search karoge to aapko
badhiya antivirus ki jankari mil jayegi ya fir aap najdeeki kisi computer shop
par iske bare me pata kar sakte hai.
Antivirus
ko aap online internet se bhi download kar sakte ya offline computer shop se
buy bhi kar sakte hai. Wo aapko ek CD denge jisme se aap PC me anti virus install
kar sakte ho. Antivirus ko bar bar update karte rahe.
Mostly
antivirus ek year ke liye milte hai uske bad aap use upgrade kara sakte hai.
Yaad rahe kabhi bhi free local antivirus istemal na kare. Ye apne aap me virus
hote hai or aapke PC ke liye danger ho sakte hai.
3. Adobe Flash Player:
Agar
aap youtube ya kisi or site par online video dekhna chaahte ho to aapke
computer system me adobe flash player ka hona jaruri hai. Agar aapke system me
flash player nahi hoga to video play karne me flash ka error aayega. Aap ise
internet se online install kar sakte hai.
4. Adobe Reader:
Adobe
Flash player ki tarah hi adobe reader ki bhi har ek user ko jarurat padti hai. Kisi bhi computer / laptop me ye software jarur hona
chahiye kyuki jab bhi koi user apne PC me koi PDF file open karta hai to uske
liye adobe reader ki jaruat hoti hai. Online E-books ya dusre Email file ke
liye bhi iski jarurat hoti hai. Iske bina aap PDF and kuch others file ko open
nahi kar sakte.
5. VLC Media Player:
Aapke
systep me ek aesa software hona jaruri hai jo sabhi tarah ki audio and video
file ko play kar sake. VLC media player ek matr aesa software hai jisme aap all
type ki files ko run kar sakte ho. Isko install karne ke bad aapko kisi dusre
video player software ki jarurat nahi padegi.
Aap
chahe to iske alawa Gom player bhi istemal kar sakte hai. ye bh VLC ki tarah
best video player software hai. But VLC gom se jyada better hai kyuki ye sabhi
types ki files ko support karta hai. Sath hi isme multi feature option hote
hai.
6. MS Office:
Ms
office software ki har user ko jarurat hoti hai. Is software me Power point,
Axel, Outlook, Publisher jaise dusre application bhi add hote hai. In software
ki help se har type ke documents par work kar sakte hai. Iske alawa iski madad
se office, school, collage ke liye bhi presentation ready kiya ja sakta hai. Ek
student ke liye MS office ki jyada jarurat hoti hai.
7. Google Chrome and
Mozilla Firefox Browser:
Computer
/ laptop me internet chalane ke liye ek achhe internet browser ki jarurat hoti
hai. Aese me aapke pas google chrome or mozilla firefox 2 best option ho sakte
hai. Kyuki ye dono hi wo software hai jinhe duniya me sabse jyada log istemal
karte hai or jo apako sabse jyada features provide karte hai.
Google
chrome world me number 1 internet browser hai. ye browser searching or
downloading ke liye achha kaam karta hai. Agar aapke system me ye pahle se hai
to aap in software ko update kar latest version install kar le.
8. Recycle Bin:
Kei
bar humse apne PC me koi file galti se delete ho jati hai inme se kuch
files bahut important hoti hai. Agar aapke computer me recycle bin
software installed hai to aap use fir se restore kar sakte ho or aapka data
lost nahi hoga.
9. Zip and WinRAR:
Inko
aap aasani se internet se download kar sakte hai. Sabse achhi bat ye hai ki
inse file convert karne par file me kisi bh itarah ka virus nahi aata hai or
sath hi ye file ko compress bhi kar deta hai. Mostly, internet se sabhi files
Zip format me hi hoti hai. Aese me aapke liye ye software jaruri hai.
10. Folder Lock:
Aapke
PC me ek folder lock software bhi hona chahiye. Jisse aap apne personal
documents and files ko secure kar sako. Iske liye aap folder lock name ke hi
software ka istemal kar sakte hai. Isse aap apni sabhi jaruri files ko lock kar
sakte hai. Uske bad koi bhi bina password ke apaki file ko open nahi kar
payega.
Folder lock se lock karne ke bad password se hi folder ko open kiya ja
sakta hai. Agar aapke computer ko aapke alawa koi or bhi istemal karta hai to
aapke liye ye jaruri hai. Isse aapka personal data safe rahega.
Inke
alawa aap apne system me Microsoft Office, Opera browser, audio player,
Picasa jaise jaruri software bhi install kar sakte ho. Aaj ke time me Google
Hindi Input Tool bhi har user ke liye jaruri ho gaya hai. Isse aap aasani se
hindi language me typing kar sakte hai.
Agar aap online movies dekhne ke shaukeen hai to aap Utorrent
software istemal kar sakte hai. Iske alawa aapke computer me internet chalane
par bahut sari cache files ban jati hai. Aap windows+R key
button daba kar %temp% code dal kar enter click karke extra
cache files ko delete kar sakte ho but Uaapko bar bar manually files delete
karni padti hai. Inko autumatically delete karne ke liye aap Registry
Cleaner / Tune Up Utilities software ka istemal kar skate hai.
I hope you may like this post and get helpful
information about useful software for computer so please share this post with
your friends.
0 comments