Jio 4G Sim Se Kis Time Kitni Aur Sabse Jyada Speed Kab Milti Hai
01:54
Jio 4G Sim Se Kis Time Kitni Aur Sabse Jyada Speed Kab Milti Hai
Reliance Jio 4G sim ne india
me internet users ko badal kar rakh diya hai. Only 1 month me 1.6 users bahut
jyda hote hai or abhi bhi iski market me pahle jaisi demand bani huyi hai. Log
jio sim ko bahut pasand kar rahe hai but probelm tab hoti hai jab is sim se
movies, songs or photos download karne ya internet chalane par kei bar jyada
speed nahi mil pati or bahut slow ho jati hai. kei bar to 2G se bhi kam speed
mil pati hai. So aaj main aapko bta raha hu ki kis waqt jio sim se maximum
internet speed milti hai.yaha par mai ap ko ye bi batana chata hu ki jio sim ki
unlimted data and other use ki validity bada kar 31 march Kar di gayi kai .
Aese
me user ke dimag me ek sawal aata hai ki reliance jio 4G sim se 2G, 3G se bhi
kam speed kyu milti hai or agar 4G speed milti hai to kis time or kitni
jyada internet speed milti hai. Isme se important swal ye hai ki jio sim se kis
time or maximum kitni speed milti hai.
Jio
sim free me internet, calls, sms ki service de rahi hai but kei bar good
internet speed na milne ki wajah se users pareshan ho jate hai. Isse pahle ki
hum us time ke bare me jane jab jio se sabse jyada speed milti hai. Usse pahle
hume ye pata hona chahiye ki 4G me kitni internet speed hoti hai.
4G Me Kitni Speed Hoti Hai ?
Aapko
is bat ka pahle se pata hoa agar anhi hai to main aapko bta du ki 4G network me
maximum high speed 50Mbps hoti hai. Yani aa pek second me 50 MB data download
kar sakte hai.
But
india
me cellular companies 20 to 25 Mbps ki speed hi de rahi hai. Jio sim par bhi
starting me 25Mbps ki speed mil rahi thi but dheere dheere speed kam ho gayi
hai or ab Mbps ki jagah speed KBps me aa gayi hai.
Jio 4G Sim Se Kis Time Kitni Aur Sabse Jyada Speed Kab Milti Hai in Hindi
1. 9 am to 12 pm:
2. 1 pm to 4 pm;
Dophar 1 pm to 4 pm ye internet chalane ka toda busy time hota hai. Is
waqt reliance sim ki speed bahut slow ho gayi or maximum 20KBps bhi nahi rahi.
Kei bar to internet chal hi nahi raha tha. Is speed se to film mushkil hi download
ho sakti ha.
3. 5 pm to 8 pm:
Ab maine
5pm to 8pm ka time slot karke dekha. Abki bar pahle dono bar se jyada behtar
speed mili. Is time film download hone ki maximum speed 150KBps to 200KBps thi
or kei bar kam jyada hoti rahi. Halanki is time me internet par other work
karne par speed kam hoti hai.
4. 9 pm to 12 am:
Is
dauran internet speed or jyada increase ho gayi or movies fast download hone
lagi. Pahle speed kam thi par dheere dheere 10 pm tak speed 300 to 400KBps tak
pahuch gayi. Iska reason yeh ho sakta hai ki is time par bahut kam users
internet par online rahte honge ya fir log kam downloading karte honge.
5. 1 am to 4 am:
Jio
ke plan ke bare me kaha jata hai ki rat 12 am to 5 am tak internet speed bahut
jyada hoti hai or 1000KBps se bhi jyada speed milti hai par aesa nahi tha. Wese
1am to 4pm ke bich speed 500KBps tak pahuch gayi or maximum speed 400KBps tak
rahi.
6. 5 am to 8 am:
Ye
morning ka time hota hai or abki bar maza aa gaya or or sabse jyada speed mili. Is time
par movie bahut fast download ho rahi thi or kei bar to speed 800KBps tak
pahuch gayi. Mujhe jio sim ka sabse jyada speed dene wala time lagta hai. Is
speed se 1GB ki movie 20 to 30 minutes me download ho jati hai.
Finally,
morning ke time me jio 4G sim se sabse jyada or 700 to 800 KBps tak ki speed
sasth maximum 1024KBps yani 1Mbps mil jati hai. Iski main wajah ye hoti hai ki
is time aadmi office ke liye taiyar hote hai or bachhe school ke liye, home me
mahilaye kichan ke kaam me lagi rahti hai. So is time apr bahut hi kam users internet
use karte hai.
Aapke
smart phone me powerful and jyada ram hogi to dusre handset ki tulna me behtar
speed milegi. I mean phone ko processor jitna better hoga us phone me
internet bhi utna hi fast chalega.
Iske
alawa aapke area me jio ke network kaise aa rahe hai ye bhi important hai or
loose network aane par internet speed par fark padta hai or speed high – slow
ho sakti hai.
I hope aapko ab jio 4G sim par kis time or sabse jyada kitni speed
milti hai ke bare me pata chal gaya
hoga. Show is post ko apne dosto ke sath share jarur kare.
0 comments