Whatsapp Par GIF Animation Image Kaise Banaye Sirf 2 Second Me
01:53
Whatsapp Par GIF Animation Image Kaise Banaye Sirf 2 Second Me
Whatsapp par GIF Animation Image banana bahut hi aasan hai. Whatsapp
par tarah tarah ki GIF animation photos send ki ja rahi hai magar kuch
users ko abhi bhi iske bare me jankari nahi hai. So aaj mai aapko whatsapp me
GIF animated photo create karne ki process step by step bta raha hu. Aap easily
yaha btaye step follow kar ke aap sirf 2 second me GIF image bana sakte ho
or apne friends ko send kar sakte ho.
Whatsapp
par GIF animation image banana itna aasan hai ki aap 5 second se bhi kam time
me kisi bhi video se GIF picture bana sakte ho. Mai yaha par aapko iski jo
process bta raha hu. Use read karne ke bad aapke liye or bhi aasan ho jayega.
Whatsapp
par GIF image banane ki step by step full information in hindi, Whatsapp par
GIF kaise banaye, Whatsapp par apne dosto ko GIF image kaise send kre, Whatsapp
par video se GIF kaise create kare. Apake aese sare sawalo ke jawab is post me
mil jayenge.
Whatsapp Par GIF Animation Image Kaise Banaye Ki Puri Jankari Hindi Me
How to Create GIF Image
On Whatsapp:
Step 1:
1. Sabse pahle aap apne mobile me whatsapp
open kare.
2. Ab aapko jis friend ko GIF send karni hai
uski profile open kare.
3. Ab top right side me attachment icon par
click kare.
4. Gallery option par select kare.
Step 2:
1. Gallery me ja kar VIDEOS option par click kare.
2. Ab ji video se GIF image bana kar send
karni ho wo select kare.
Step 3:
1. Ab ye video aapke whatsapp me open open
ho jayega.
2. Ab videos me se jaha se aap chaho waha se
6 second ya isse kam time ka video cut kar le.
3. video ke upar video time or niche GIF set
karne ke icon nazar aayenge.
4. Finally, video ke icon par click kare.
Step 4:
Aapke
video icon par tap karte hi video automatically send hona shuru ho jayegi.
Actually 6 second ki GIF ka size bahut kam hoga so ye kuch hi second me send ho
jayegi.
Sath
hi aapke mobile me bhi iska backup ban jayega. Aap chahe to mobile file manager
me ja kar whatsapp media file check kar sakte hai.
Is
tarah se aap kisi bhi video se whatsapp par GIF animation image bana
sakte. GIF image bana kar apne dosto, family member ya other person ko
send kar sakte ho.
I hope aapko ye post pasand
aayegi. Post pasand aayi ho to apna 2 second ka time nikal kar ise social media
par share jarur kare.
0 comments