Whatsapp India Me Kitna Popular / Famous Hai In 7 Bato Se Jane

01:51

Whatsapp India Me Kitna Popular / Famous Hai In 7 Bato Se Jane

Whatsapp aaj online internet se bina paise kharch kiye message send karne ki number one service ban gayi hai. Shayad hi koi aesa smartphone user hoga jiske mobile me whatsapp app install na ho. India me to ye most popular hai. Magar kya aap jante hai ki india me ye kitna famous hai, agar nahi to don’t worry yaha main aapko isi ke bare me bta raha hu. Whatsapp ne khud “bharat me whatsapp” ke bare me secret bate btayi hai. Aayiye Jante hai whatsapp india me kitna popular hai.

Whatsapp ki shuruaat USA Brian Acton and Ukrainian Jan Koum ne ki thi. Ye dono yahoo ke former employee the. Bad me ise facebook ne kharid liya. Aaj world me billion people iska istemal kar rahe hai. Kisi ke mobile me koi or app ho na ho par ye apps jarur mil jayega.
India me ye app itna popular hai ki aap soch bhi nahi sakte. Whatsapp ne khud iske bar me kuch bate btayi hai jinse sabit ho jata hai ki whatsapp india me kitna jyada famous hai.

Whatsapp India Me Kitna Popular Hai In 8 Bato Se Janiye

Whataspp ab android, blackberry, iOS, iPad, windows, Apple, Desktop all ldevice ke liye avaialable hai. Aap whatsapp.com site se apni jarurat ka version download kar sakte ho. Whatsapp ne delhi ke ek event me india ke bare me kuch announcement kiye hai jo is parkar hai.
Whatsapp India ke bare me 7 famus:
1. India Whatsapp Ka Sabse Bada Market Hai.
Company ne officially btaya hai ki all word me bharat uska sabse bada market hai. Company ne kaha ki “Humare pas india sabse bada country hai or yaha par puri duniya me humare sabse jyada users hai.”
2. Video Calling Available for All Users:
Jab whatsapp ne video calling feature launch kiya to pahle india me iska beta version hi uplabad tha but ab pure bharat me iska full version available hai.
Ab aap easily is app se video call kar sakte ho.
3. 16 Crore Monthly Active users:
Whatsapp ke anusar bharat me uske per month 16 crore active users hai. Jo ki ek bahut bada traffic hai.
4. India Me Sabse Jyada Monthly Users:
Aapko ye jan kar or zyada hairani hogi ki india hi wo desh hai jisme whatsapp ke sabse jyada monthly users hai. India me is app ko baki sabhi apps se jyada bar install kiya gaya.
Ek bat or whatsapp already world me bhi sabse jyada bar download kiya jane wala app hai. Iske users ki sankhya puri duniya me sabse jyada hai. Company ke voice president arora ne iski jankari di hai.
5. India Me Facebook Se Bada Hai Whatsapp:
Sabhi jante or mante hai ki duniya or bharat me sabse jyada popular social networking site facebook hai. Agar aap bhi aesa sochte hai to ab apni soch badal dijiye.
Ab india me facebook se jyada users whatsapp istemal karte hai. Yani india me ye app apne parents se bhi jyada lokpriy hai. Facebook ne last month btaya tha ki india me uske 15 crore 50 lakh users hai.
6. 10 Indian Language Me Use Kar Sakte Hai.
India me aap whatsapp ko 1o bhashao me chala sakte hai. Important bat ye hai ki is app ko itni language ke layak banane me customers ne hi help ki hai.
User app par apni bhasha me bat karte thebas company experts ne logo ki basha ko translate karke itni tools bada dali.
7. Optimize Video Calling for India:
Company ka kahna hai ki unhone bharat jaise desh ke users ke liye alag se video calling ko optimize kiya hai. Jaha par telecom network connectivity ka main source hai.
Arora ne btaya ki Wi-Fi par video ki quality high HD hogi or loose network par video resolution kam hogi or app automatically network quality ke hisab se video quality adjust kar leta hai.
8. Diwali Par 8 Billion Messages Send Kiye Gaye.
Whatsapp ke product development head manpreet singh ne kaha hai ki is diwaliwale din whatsapp par 8 arab messages or 1 crore 50 lakh photos bheje gaye the.
Ye ek din ka bahut bada record hai. 2013 m3 whatsapp join karne wale manpreet singh voice calling feature par kaam karne wale pahle indian engineer hai.

Finally, humara desh kabhi bhi piche nahi hai. Har new product par kabza kar leta hai fir chahe wo kisi bhi desh ka ho. Kash other important working field me bhi aesa hi hota. 

You Might Also Like

0 comments