Smart Phone Kar Sakta Hai Ye 10 Kaam Kya Aap Ne Try Kiya Hai
01:49
Smart Phone Kar Sakta Hai Ye 10 Kaam Kya Aap Ne Try Kiya Hai
Agar aapke pas smart phone hai to aapko pata hona chahiye ki usse aap
kya kya kar sakte hai. Is article me mai aapko bta raha hu ki aap calling,
messaging, chatting, internet ke alawa apne smartphone se kuch or bhi kaam kar
sakte hai. Smart phone me kuch ayse features bhi hote hai jinke bare me aap
shayad hi jante ho. Jaise photo khichna, movie banana, remote ko check karna,
multiple panoramatic shouts, High quality lens bana kar big cinema banana and
other bahut kaam kiye ja sakte hai.
Aaj ke time me har ek aadmi ke pas android mobile, iOS, iPad, wondwos
phone, apple smartphone mil jayenge. Mai yaha par aapko smartphone ke kuch top
features ke bare me bta raha hu agar aapne ye feature try nahi kiye ho to aap
try kar sakte hai.
Smart Phone Kar Sakta Hai Ye 10 Kaam Shyad Aap Inke Bare Me Nahi Jante Honge
Smartphone
ne aaj bahut se kaam aasan kar diye hai. Aaj computer par hone wale kaam online
internet se smart phone par hi ho jate hai. Aayiye inme se kuch ke bare me hum
bhi jante hai ki Smartphone kar sakta hai ye 5, 7, 10 kaam, jinke bare me har
koi nahi janta hai”.
1. TV Ya Kisi
Or Remote Ko Check kare:
Bahut
bar humare sath aysa hota hai ki TV, Music player, DVD ka remote kaam karna
band kar deta hai to hume bahut problem hoti hai. Ye problem shayad aapko bhi
aayi hogi. Ayse time me hum remote ki battery, sell change karke remote ke sahi
hone ka pata lagane ki koshish karte hai.
Jab
battery, sell change karne ke bad bhi remote kaam nahi karta to hume ye
confusing rahti hai ki remote sahi hai ya kharab ho gaya hai. Magar aapka smart phone is is
problem ko 1 second me solve kar sakta hai yani ab aap apne android phone se
remote ke sahi ya kharab hone ka pata laga sakte hai.
Remote Sahi Hai Ya Kharab
Kaise Pata Kare?
Smart
phone se kisi bhi remote ka sahi ya kharab hone ka pata lagana bahut hi aasan
hai. Meri btayi ye trick follow kare.
Apne
smart phone ka camera on kare or remote ke sensor ko camera ke samne kar ke
remote ka koi bhi buttan dabaye. Agar remote sahi hoga to remote ke sensor ki
light blink karti huyi nazar aayegior agar sensor light blink nahi hoti hai to
aapka remote 100% kharab hai.
2. Use Your
Smart Phone as a Projector:
Projector
ke bare me to aap jante hi honge. Projector ka kaam hota hai zooming karna.
Cinema hall me aap bade parde par jo seen dekhte ho use projector se hi bada
kiya jata hai. Aaj mai aapko aysi trick bta raha hu jiski madad se aap apne
smart phone ko projector ki tarah istmal kar sakte ho or apne ghar ki kisi bhi
diwar par parda laga kar bade parde par movies dekh sakte hai.
Smart Phone Ko
Projector Ki Tarah Istmal Kaise Kare?
Ji
ha dosto ab aap apne smart phone ki madad se apne ghar me hi cinema hall bana
kar movie dekh sakte hai. Iske liye aapko bas ek shoes cartoon or Magnifying
glass ki jarurat padegi. Follow below step:-
1. Magnifying lens ko shoes box ki ek side
me rakh ke mark kare or mark kiye gaye cartoon ko blad se kat kar holl bana le.
2. Box me holl karne ke bad lens ko us me
fit kar ke gond ki madad se chipka de.
3. Ab aapko image ke anusar box me dusri
taraf apna smart phone rakhne ke liye stand banana hai. Aap koi bhi cheez ki
madad se stand bana sakte hai.
4. Apne smartphone me koi bhi movie ya video
chala kar stand par rakhe. Mobile ki screen Magnifying lens ki taraf karni hai.
5. Aapke mobile ke focus ko cutch kar
Magnifying lens use zooming kar output nikalega. Ab mobile ko aage piche kar ke
aapko jis size me video dekhna hai set kare.
6. Mobile ki video brighttness 100% kar le
taki video full clear dikhe.
3. Panorama
Shouts Me Kai Bar Dikhna:
Aap
panorama apps se ek sath apne kei pose shoot kar sakte ho. Agar aapke smart
phone me panorama app nahi hai to yaha se download kar le.
Hum jab apna photo lete hai to usme aas pass ke log bhi dikhayi dete hai magar
panorama apps ki madad se aap sirf apna hi photo soute kar sakte ho.
Panorama Se Sirf Apna
hi photo Shoot Kaise Kare?
Agar aapko ek hi photo me apne kei pose shoot karne hai to ye bahut
aasan hai aapko bas photo shoot karte waqt photographer ke piche se dusri taraf
bhagna hai. Is tarah aap ek hi photo me kei jagah aa sakte ho.
4. Earphone Se
Photo Shout Kare:
Aap
apne smart phone ke earphone ko kya kaam me lete ho Music, FM sunne me. Magar
kya aapko pata hai ki aap earphone ki madad se photo bhi le sakte ho. Chalo aaj
mai aapko btata hu ki earphone se photo kaise khich sakte hai.
Earphone Se Photo Kaise
Khich Sakte Hai?
Aap
jab new smart phone kharidte ho to lagbhag sabhi ke sath earphone aata hai.
Earphone sirf music sunne ke kaam hi nahi aata hai balki isse hum photo bhi
khich sakte hai.
Actually,
earphone me jo play / pause ka buttan hota hai usse aap smart phone ko bina
touch kiye photo khich sakte ho sath hi aap value kam jyada wale buttan se
camera ko zoom in and zoom out kar sakte ho. Apne aap ka photo khichne me ye
trick bahut kargar hai. Yaad rahe ye trick extra liye gaye earphone me kaam kam
karta hai isliye extra earphone lene se pahle check kar le.
5. Lens Ki
Quality Badhana:
Humare
smart phone ka camera acha hone ke baad bhi kei bar hum usse or bhi acha photo
lene ki sochte hai. Ye aadat lagbhag sabhi smart phone user ki hoti hai. Wo
sochte hai ki kash mai thoda or acha photo khich sakta to mai aapko ek tips bta
raha hu apne smart phone ke camera ki quality se bhi jyada better photo lene
ki.
Smart Phone Ke Camera
Ki Qulity Kaise Badhaye?
Jab
aap apne smart phone se photo shoot karo to smart phone ke camera par pani ki
ek jara si boond dal kar photo shoot kare or result dekhe photo kitna better
aata hai. Isse bina zooming kiye kafi had tak zooming me photo shoot hota hai
yani aap is trick ki madad se photo ko or bhi jyada zoom kar sakte ho. (Dhyan
rahe mobile ke andar pani nahi jana chahiye sirf jara si ek boond hi use karni
hai.)
6. Android
Device Manager:
Android
device manager ek aysa apps hai jo aapke khoye huye phone ka pata laga sakta
hai. Iski madad se aap apne khoye huye phone ke password bhi change kar sakte
ho or phone ke sare data bhi mita sakte ho. Jisse phone dead ho jayega or chor
ke koi kaam ka nahi rahega. Wese internet par phone ki location btane wale
bahut se apps hai par ye apps sanse alag hai.
Android Device Manager
Kaise Kaam Karta Hai?
Sabse
pahle apne smartphone me android device manager apps download kar le. Aap yaha
se bhi download kar sakte hai.
1. android device manager apps ko apne phone
me install kare.
2. Ab apps ko apne google account se connect
kar le.
3. Ek bar google account se connect hone ke
bad jitni bar aapka phone activate hoga utni bar aapke google account par uski
jankari bhej di jayegi.
4. Sabse khas baat ye hai ki aapke phone ke
chori hone ke baad aap apne phone ke password change kar sakte ho.
5. Aap chaho to is apps ki madad se phone ke
sare data delete / remove kar apne chori huye phone ko dead kar sakte ho.
7. Smart Phone
Ki Soud Quality Badhana:
Bahut
se phones me high volume speaker na hone ke karan adhik sound nahi
hoti magar aap chahe to is trick se apne smartphone ki sound ko kafi had tak
badha sakte ho. Iske liye aapko seese ke ek khali zaar ki jarurart padegi.
Smart Phone Ki Soud
Quality Kaise Badhaye?
Apne
smartphone me music on kar ke phone ko khali zarr me rakh de or result dekhe
phone ki aawaz kafi had tak badh jayegi. Zaar me phone rakhne se speaker ke
sound idhar udhar nahi failti or zaar ke upari khule hisse se ekdam bahar aati
hai, isliye phone ki sound badh jati hai.
8. Use Your
Phone as a Wireless Hotspot:
Ji
haa, dosto aap apne smart phone ko modem, wireless ki tarah bhi use kar sakte
ho. Bahut se logo ko iski jankari nahi hoti or wo apne computer ke liye new
modem, wireless kharid lete hai. Mai unse kahna chahunga ki agar unke pas smart
phone hai to unhe modem lene ki koi jarurart nahi hai.
Smart Phone Me Wireless
Hotspot Kaise Use Kare?
1. Apne phone ki setting me jaye.
2. More option par click kare.
3. ‘Tethering & portable hotspot’ par
click kare.
4. Portable WI-FI hotspot ko on kare.
5. Ab Portable WI-FI hotspot ko left side
par click kare or apne WI FI ke password set kare taki koi or aapke wi fi se
net na chala sake.
6. Ab apne PC me network search kare waha
aapke phone ke wi-fi ka naam aa jayega. Apne password set kar ke connect kar
le.
9. Set Mobile Data Limit:
Apne
android mobile me aap ne ye option jarur dekha hoga par ise kaise use kare iski
jankari shayad hi kuch logo ko hogi. Kei bar kya hota hai ki hum internet
chalate rahte hai or jyada internet pack istmeal hota hai or jab MB
khatm ho jati hai to humare sare paise bhi kat jate hai. Ye bat aap bhi jante
hai ki net pack na ho to internet chalane par kitne adhik paise kat’te hai. Aaj
mai aapko aysa tarika bta raha hu jiski madad se aapka ek bhi rupees nahi
katega.
Mobile Data Limit Set
Kar Ke Paise Kaise Bachaye?
Aap
mobile data limit option par ja kar orange color ki line se data limit set kar
sakte hai.
Man
lo aapki sim me 200 MB hai or aap internet chala rahe hai. Isliye bar bar apna
internet pack check karte rahte hai ki kahi pack khatm na ho jaye or aapke
paise na kat jaye. Is problem ko khatm karne ka tarika smart phone me pahle se
hota hai. Bas aapko data limit set karni hai.
1. Agar aapke phone me 200MB hai to aap
phone ke data limit setting me ja kar orange line se 190MB par data limit set
karo.
2. Ab jab aap 190mb use kar loge to smart
phone data connection ko automatic band kar dega.
3. So agar aap ye bhi set kar sakte hai ki
aaj mujhe kitni mb use karni hai TO isse aapke paise nahi katenge or aapko
smart phone pahle hi alert kar dega.
10. Use
Multiple Google Account in One Smart Phone:
Agar
aap apne smart phone me ek hi google account use karte ho to mai aapko bta du
ki aap ek se jyada google gmail account bhi smart phone me ek sath use kar
sakte ho. Isse aapko bar bar dusri id se log in karne ki jarurat nahi padegi or
aapko 2-3 email ID manage karne me aasani hogi.
Smart Phone Me Multiple
Google Accounts Kaise Use Kare?
1. Apne phone ki setting me jaye.
2. Ab account>> Add account par click
kare.
3. Apni email id se log in kare.
4. Is tarah aap kei email id se log in kar
sakte ho.
Apne
phone 3-4 google account se jyada account se log in na kare warna aapki email
id block bhi ho sakti hai. So main aapko yahi kahunga ki aap ek phone me kam se
kam account se log in kare ya fir ek se sign out karne ke bad dusre se sign in
kare.
Ummid hai aapko meri ye post
pasand aayi hogi. Agar ye bat sach hai to is post ko share karke aap bhi
humari help kare or agar aapko internet se related koi sawal pchna hai to mai
aapko comment karne ko suggest karna chahunga.
0 comments