Online Shopping Ki Site Real Hai Ya Fake Kaise Pata Kare

01:46

Online Shopping Ki Site Real Hai Ya Fake Kaise Pata Kare

Aaj ke time me har insan apni life me itna busy ho gaya hai ki uske pas shopping karne ka bhi waqt nahi hai. Iski wajah se Online Shopping logo ki pasand banti ja rahi hai. Pahle isme bahut kam log interested the but ab sabhi people online shopping karna jyada pasand karne lage hai. Magar online product buy karne me fraud websites ki wajah se aapko problem ho sakti hai or koi aapke sath dhoka cheating kar aapse paise loot sakta hai.

Mera kahne ka matlab ye hai ki aajkal internet par aesi bahut si website hai jo asli sites ki tarah hi hoti hai or asal me ye nakli site hoti hai or aapse shopping ke name par thaggi karti hai. Jin logo ko inke bare me pata nahi hota hai wo aasani se inka shikar ban jate hai.
Agar aap chahate ho ki aap future me kabhi farzi online shopping site ka shikar na bane to aapko real and fake online shopping site ke bare me details se jan lena chahiye taki jarurat padne par aap asli or nakli site ki pahchan kar sako.
Is post me main aapko farzi website ke bare me pata karne ke kuch tarike bta raha hu jinse aap easily kisi bhi fraud site ka pata laga sakte ho ki wo farzi site hai ya original website hai. Isse aapko koi pagal nahi bana sakega, aapke paise bekar nahi jayenge or aap achhe se online shopping kar sakoge.

Online Shopping Website Original Hai Ya Fraud Kaise Pata Kare

Agar aapko aesi kisi website par koi product pasand aa raha hai jiske bare me aapne pahle kabhi nahi suna hai to aesi site se turant shopping na kare balki pahle us site ke bare me achhe se pata kar le ki wo site asli hai or real me aapke sath koi cheating nahi karegi. Uske bad usse koi saman kharide.
Internet par hi aapko aesi bahut si sites mil jayegi jo aapko original or fraud site ke bare me jankari deti hai. In site par aap shopping site ke bare me bhi pata kar sakte ho.
Aesi hi ek site hai whois.com site par kisi bhi website ke domain ki full information, wo kitna old hai or use kitne year ke liye regiter kiya gaya hai, use kisne register kiya hai uske phone number, email address, address details with location etc. sabkuch pata kar sakte ho.
Iske alawa aap toolsvoid.com par ja kar kisi bhi E – commerce website ya company ki sari jankari pata kar sakte hai. Aap toolsvoid.com site par jaye or left side me MORE TOOLS option ke niche Host who is looking par click kare.
 Iske alawa aap urlvoid.com jo aapko ye btati hai ki company kab se business kar rahi hai or uski online services real hai ya fake or is site se online shopping karne par aapke sath dhoka to nahi hoga.

Yaha par aap site kitni purani hai or site ki full information pata kar sakte ho. Aapko bta du ki jo website fake hoti hai wo purani site hone ka dawa karti hai.
Agar aapko kisi company ki asaliyat janni hai to aap uski website par jaye or site ke niche ki taraf scroll down kare. Site ke footer par copyright likha hua hota hai or waha par About us, Contact us, Faq, Privacy Policy jaise jaruri links add kiye huye hote hai.
Agar kisi site ke niche ye links add nahi hai to wo fake website ho sakti hai or aesi site se bhool kar bhi online shopping na kare.
Humesha only unhi sites se online shopping kare jinke url se pahle HTTPS laga ho. Is type ki sites bharoshemand or secure hoti hai. Kabhi bhi bina https ke khulne wali website se shopping na kare.
Aap URL ke log in icon se sahi site ke bare me pata laga sakte hai. Asli site ke url se pahle lock ka nishan hota hai. Dhyan rahebahut si site original sites se milta julta url use karke logo ko bewkoof banati hai. So kisi bhi activity se pahle sites ke link ko achhe se check kar le.
Sabse badi bat E-commerce websites par bank payment karne ki service deti hai. Kei bar bahut site aapke bank account ki details le kar aapko murkh banati hai. SO jab bhi aap online payment karo to check kar le ki wo kisi bank ki service hai ya koi or site hai.
Agar koi big company kisi product par jyada discount nahi de rahi hai or usi product par koi or company bhari discount de rahi hai to ho sakta hai wo discount ka lalach de kar aapko thag sakti hai.

Agar aapko ye post pasand aaye to ise social media par share jarur kare.

You Might Also Like

0 comments