Mozilla Firefox Ka New Update Latest Version Kaise Install Kare
01:43
Mozilla Firefox Ka New Update Latest Version Kaise Install Kare
Mozilla firefox ko chalane walo ki aaj bhi kami nahi hai. Google
chrome ke bad dusra number isi ka aata hai. Mostly people chrome and mozilla in
dono browser ko hi use karte hai. So agar aap mozilla firefox browser istemal
karte hai to aapke liye good news hai ki firefox ka new update mozilla 50.0
latest version release ho chuka hai. Ab aap apne firefox browser ko upgrade kar
or better bana sakte hai.
Actually,
aapko mozilla firefox ke new version me simply koi badlav dikhayi nahi denge
but real me isme bahut kuch badlav kiye gaye hai. Isme keyboard shortcuts ko
update kiya gaya
hai or browser security increase ki gayi hai. Ye aapko tabhi pata chalega jab
aap iske feature ko deeply check karenge.
Mozilla
firfox 50.0 version Windows, Linux, Make, OS, Android and some devices ke liye
available hai. Baki ke liye bhi jaldi hi available ho jayega. I sure ab aapko
mozilla ko istemal karne me aasani hogi or aap pahle se behtar internet chala
sakoge.
Mozilla Firefox 50.0 Me Kya Kya Updates Aayi Hai?
Actually,
main chrome browser ka fan hu or mozilla browser bahut kam istemal karta hu. So
mujhe isme itna interest nahi hai. But jo log ise pasand karte hai unke liye ye
wakai kamal ka hai.
1. New version me browser ecurity badhai gayi hai.
2. Keyboard shortcut me badal kiye gaye hai
new shortcut kamal ke hai.
3. More option yani or jyada features add
kiye haye hai.
4. Availability increase ki gayi hai.
5. Windows and linux ke liye large number ka
download protection add kiya gaya
hai.
6. Emoji and native emoji feature add kiya gaya hai jo ise more
awesome banata hai.
7. SK extension ki performance improve ki
gayi hai.
8. Page search karne ke liye user ke lyie
extra features add kiye gaye hai.
Iske
alawa bhi bahut sare updates hai jo aapko mozilla firefox ke new version ko use
ke bad pata chal jayenge. Wese bhi mozilla kafi time bad update hua hai so isme
bahut kuch behtar kiya hua hoga.
Mozilla Firefox Browser Ka Version Kaise Check Kare
Bahut
hi simple hai or shayad ye to aapko pahle se pata hoga. Chalo agar nahi bhi hai
to main iske step bta deta hu.
Step 1:
1. Sbse pahle aap mozilla firefox browser ko
oepn kare.
2. Ab left corner me firfox button par click
are.
3. Ab drop down menu me right me options
>> options par click kare.
4. Agar option show na ho to ALT key prase
kare option show ho jayega.
Step 2:
1. Ab ek pop-up windows open hogi. usme
right side me Advanced par click kare.
2. Update option par click kare.
3. Yaha par aapke pas automtically update,
manually updae or never update ke 3 option honge. Aap automatically update par
tick kare or agar aap bad me update karna chahate ho to second option select
kare.
4. Show Update Historty me aap abhi kounsa
verison use kar rahe ho wo check kar sakte ho.
5. Finally save par click karke setting save
kare.
Mozilla 50.0 Latest Version Download / Install / Upgrade Kaise Kare ?
Yaha
maine topic
hai ki aap mozilla ka latest version 50.0 kaise or kaha se donwload kar sakte
hai. Iske liye aapko jyada kuch karne ki jarurat nahi hai. Aap Mozilla.org
site par ja kar direct latest version download kar sakte ho.
By the way, agar aap pahle se intalled mozilla ko hi upgrade karna
chahate ho to ye ye step follow kare.
Step 1:
1. Apne desktop PC me mozilla firefox ko
open kare.
2. Top sidebar me help par click kare.
3. Agar help ka option show na ho to alt key
button dabaye.
4. About Firefox par click kare.
Step 2:
Ab
ek pop up windows open hogi. Agar abhi aapke PC me internet data on hai to isme
aap dekh sakte hai ki browser update chalu ho rahi hogi. Update check karne
wale step me first option yani automatically update select karne par hi ye
downloading shuru hogi.
·
Is
tarah se aap mozilla firefox browser ka latest version check kar sakte hai or
direct mozilla site se ya fir old browser ko hi upgrade or update kar sakte
hai.
Mozilla
or chrome dono best hai but chrome me jyada data use hoti hai or mozilla me kam
internet pack lagta hai. Isiliye wajah se users ise pasand karte hai. I hope
aapko is post se achhi help milegi or ab aap easily mozilla firefox ka latest
version install kar sakenge.
Agar aapko ye post
pasand aaye to ise social media par apne friends ke sath share jarur kare.
0 comments