Google Ke Bare Me 10 Interesting Facts, Amazing Information Hindi Me jane
01:40
Google Ke Bare Me 10 Interesting Facts, Amazing Information Hindi Me
jane
Google duniya ka sabse bada search engine hai ye bat sabhi jante hai
par sirf kuch log hi google ke bare me puri jankari rakhte hai. Baki jyadar log
google ko search engine ke name se hi jate hai magar google ki search engine ke
alawa bhi 200+ or bhi services and products hai. Aaj is post me main aapko
google ke bare me 10 interesting facts bta raha hu jinke bare me aap shayad hi
jante honge.
·
Mostly
google search engine ke name se famous hai par google company ke iske alawa
bhi bahut sare product aur services hai. Inme Gmail, Google Plus, Google
Drive, Google Photos, Docs, Google Maps, Youtube, Chrome, Cloud Print, Play
Store, Android Operating System etc. shamil hai.
Aaj
main aapko google se judi kuch rochak baten btane ja raha hu. Jinke bare me aap
jaan kar sachmuch hairan rahe jaoge or sochoge ki wakai hume google ki in bato
ke bare me to pata hi nahi tha.
10 Interesting Facts About Google You Should Be Know in Hindi
Kya
aap jante hai ki google ka Google name kisi ne nahi rakha or
ye sirf galti se ho gaya bad me ise google
meaning ka roop de diya gaya .
So aayiye jante hai google ka name mistake me kaise pada or iska asli name kya
tha.
1. Galti Se Pad Gaya Google Ka Name
Google
search engine ke name ki spelling uske founders ke dwara ki gayi galti ka
natija hai. Unki mistake se hi google ka name google pad gaya warna pahle iska real name GOOGOL
tha. Jiska matlab hota hai 1 ke bad ek lakh zero.
Google
ke founder ne ise galti se google likh diya or bad me faisla kiya gaya ki ab iska name
google hi hoga kyuki ye googol se jyada simple tha.
2. Google and Companies
Google
ke bare me or intereting facts ye hai ki goole ne 2010 se lagbhag har hafte
(week) ek new company me investment kiya hai. 2010 me google ne Google Energy
ke sath apna pahla investment shuru kiya tha.
Iske
bad google ne Next Era Energy Resources me dusra nivesh kiya. Isi sal google ne
Global IP Solution jaisi bahut si companies ko pane sath mila liya.
Iske
bad android Motorola, Quickoffice jaisi company ko google ne apne sath mila
liya. Wese ab motorolo company ko lenovo campany ne kharid liya hai.
3. Dessert and Alphabet Par Android Name
Andoird
operating system market me sabse jyada istemal kiya jane wala mobil os ban gaya hai. Number one
operating system hone ke sath sath is operating system ke name ko le kar apake
man me ye khyap jarur aata hoga ki aakhir iska name mithaiyo par kyu rakha jata
hai, jaise Jelly bean.
Is
bare me company ne aaj tak kuch nahi btaya hai. Google ke ek employee ke anusar
ye team work ke reason ki wajah se hota hai.
Google
ke android operating systep ko ABCD alphabet ke hisab se name diye gaye hai.
Jaise Cupcake, Donut, Eclair, Froyo, Gingerbread, Honeycomb, Ice Cream Sandwich , Jelly Bean etc.
4. Google Doodle
Google
ka first doodle 1998 me Burning Man Festival banaya gaya tha. Isme google ka
search page change kar diya gaya
tha. Uske bad may 2012 me googne ne apne doodle ka new look diya jo ki ek game
ke roop me tha.
Aesa
pahli bar hua tha ki users google doodle ke sath game khel sakta tha. Ye game
Pac – Man video game ke 3o year pure hone ki khushi ke me banaya gaya tha.
Isi
sal google ne apna pahla animated ( cartoon ) doodle update kiya tha. Ye john
lennon ke 70th birthday ke karan banaya gaya
tha.
5. Larry Page and Brin
Want Sell Google
Starting
me google ke founder larry page or sergey brin google ko bechna chahate the. Wo
google ko sell karne ke liye excite company ke CEO ke pas gaye the.
Ye
dono founder google ko 1 million dollar me bechna chahate hai par excite
company ki taraf se google ko sirf 75000 dollar ka hi offer mila jiski wajah se
deal pakki nahi ho saki or sauda bigad gaya.
Uske bad google ne vishal roop le liya or dunia ka sabse bada search
engine ban gaya
jo wo aaj bhi hai.
6. Google Chef Have 150
People Team
Google
ki taraf se november 1999 me ek faisla liya gaya jisme chalie ayers ko starting me 40
members ko khana banana hota tha. Uske work ko media me kafi saraya gaya .
2006
me charlie ne google ko chord diya. Is time tak google ke is master shef ki
team me most 4 shef or 150 logo the. Ye team ek din me 4000 dinner aur lunch
parosti thi.
7. Google Ka First
Tweet
Kya
aap jante hai ki google ne apna pahla tweet kab kiya tha or usme kya likha tha.
Shyad nahi to main apako bta du ki google ne apne pahle tweet me computer ki
language 0 to 1 ka istemal kiya tha or ye tweet binary me kiya gaya tha. Ye tweet is type ka tha.
“I’m
01100110 01100101 01100101 01101100 01101001 01101110 01100111
00100000 01101100 01110101 0110001 01101011 01111001 00001010.“
Ab
aap soch rahe honge ki iska matlab kya hota hai to main apako bta du ki english
me iska matlab “I am feeling Lucky” hota hai.
8. Gmail Starting
Google
ki e – mail service gmail 16 december 2005 me launch ki gayi thi. Is
service ko 50 different languages me release kiya gaya tha. Aapko btana chaunga ki gmail ka
idea rajan seth ne diya tha.
Unhone
ye idea google ko tab diya jab wo google ko interview dene gaye the. Is idea ke
bad me paul buchhe ne asli aakar diya.
Shuruati
time me gmail ko only google me employees ke liye banaya gaya
tha but bad me ise officially duniya ke sabhi logo ke liye shuru karne ka
announcement kar diya gaya .
9. गूगल के
शेयर ने बनाया
कईयों को करोडपति
Google
ke share bechne par company ke lagbhag 1000 karmchari crodpati yani millionaire
ban gaye. Jab 2004 me company neapne shares aam logo ke liniye nikale to unme
se ek bonnie brown 1999 me 450 dollar per week ki sallary par work karte the.
10. Bich Me Nahi Tha Google Ka Logo
Agar hum search engines ke design ke bare me bat kare to google
ka logo sabse jyada attract lagega par pahle google ka koi logo nahi tha. Bich
me google ka search engine tha or upar google likha hua rahta tha.
Starting me google ka logo left
side me hota tha jise 32 march 2001 me badal kar center me kar diya gaya . Aaj bhi google ka
logo bich me hi show hota hai.
Ap ko ye post kaise lagi achi lagi to
social media par share jarur kare
0 comments