Youtube Videos Ko Automatically Repeat Kaise Kare Ki Jankari
01:38
Youtube Videos Ko Automatically Repeat Kaise Kare Ki Jankari
Youtube par video dekhne par kei bar hume koi video ya song inta
pasand aata hai ki hum use bar bar sunna chahate hai but problem ye hai ki hume
har bar video koi manually play karna padta hai. Aaj main aapko aesi trick bta
raha hu jisse aap video ko bina ruke automatically lagatar chala sakte ho. Yani
aap ab koi bhi video youtube par play karke apna dusra kaam kar sakte ho wo
video automaticaly repeat hota rahega.
Youtube Par Video Ko Automatically Repeat Kaise Kare?
How to repeat youtube
videos automatically: Ye
bahut hi aasan hai aapko bas ye kuch hi step follow karne hai.
Step 1:
Sabse
pahle aap apne computer ya phone me us video ko open kare jise aap bar bar auto
play karna chahate ho.
Step 2:
Ab
video ke URL me youtube ke bad yani .com se pahle repeat
likhe. Example, Aapko is tarah se video link me repeat word add karna hai.
https://www.youtuberepeat.com/watch?v=0CdmElYRfSE&t=9s
Aap yaha screenshopt me bhi dekh sakte hai.
Step 3:
Ab enter click kare ab ek new site khulegi usme aapko sign up ya sign
in, log in karne ke liye kaha jayega. Aapko account banane ki jarurat nahi hai
so Not Now par click kare. Uske bas is tarah se video play
hoga. Ab aap dekh sakte hai ki video khatm hone ke bad fir se auto play ho
jayega.
Is
tarah se aap youtube video ko automatically play kar sakte ho. Isse aapko bar
bar keyboard space ki ya mouse button par click nahi karna padega. Aap ek bar
video play karke koi bhi kaam kar sakte ho.
Agar aap youtube par video upload kar ke paisa kamana chahate hai to
aap humari YouTube Se Paise Kaise Kamaye – Full Guide in Hindi post padhe. Isme
aapko youtube se earning karne ki puri jankari mil jayegi.
Agar aapko ye psot pasand aaye to huamra youtube channel jarur subscribe
kare or ho sake to is psot ko share bhi kare.
0 comments